ek cancer ke mariz ki baD-baD
gale par lagā kar nishāñ
jis ghaḌī doctor ne ye mujh se kahā
aur to saare parhez ḳhatm aap ke aaj se
shave mat kījiyegā
jab talak ye gale kī sekā.ī chale
shave mat kījiyegā
to saarī mashiyyat ḳhudā kī samajh meñ mire aa ga.ī
are
mujh ko dāḌhī se inkār kab thā jo ye ruḳh nikālā gayā
maiñ to ḳhud shave ke naam se
yuuñ bidaktā rahā aaj tak jaise paanī se billī
haañ mirī saas ko kuchh zarūr etarāzāt the
jin kī izzat kī ḳhātir
maiñ dāḌhī nahīñ rakh sakā
magar un ko bhī maiñ
agar vaqt miltā to samjhā hī letā
ḳhair
ab to jo honā thā ho hī gayā
yuuñ bhī kis ko bhalā koī mauqā milā hai ḳhudā ke huzūr
baat rakhne kī apnī
to ye baat hai
yaanī maiñ
shakl se pakkā sachchā musalmāñ na lagne ke shak meñ gayā
gale par laga kar nishan
jis ghaDi doctor ne ye mujh se kaha
aur to sare parhez KHatm aap ke aaj se
shawe mat kijiyega
jab talak ye gale ki sekai chale
shawe mat kijiyega
to sari mashiyyat KHuda ki samajh mein mere aa gai
are
mujh ko daDhi se inkar kab tha jo ye ruKH nikala gaya
main to KHud shawe ke nam se
yun bidakta raha aaj tak jaise pani se billi
han meri sas ko kuchh zarur etaraazat the
jin ki izzat ki KHatir
main daDhi nahin rakh saka
magar un ko bhi main
agar waqt milta to samjha hi leta
KHair
ab to jo hona tha ho hi gaya
yun bhi kis ko bhala koi mauqa mila hai KHuda ke huzur
baat rakhne ki apni
to ye baat hai
yani main
shakl se pakka sachcha musalman na lagne ke shak mein gaya
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 131)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.