ek Dabba shair ke liye nazm
chhoḌ de yaar ab khel tamāshe
dekh svāñg rachāte apnā aslī chehra kho baiThegā
apne aap se jo ik rasmī sā rishta hai
haath us se bhī dho baiThegā
chhoḌ de jhūTī shahvat ke masnūī da.ave
ishq-o-mohabbat ke ye ja.alī na.are
lazzat bhare talāzumoñ ke bāzārī nutfe
jinnātī tashbīhoñ meñ in chhoTī chhoTī kamīngiyoñ ke girāte haklāte buuTe
be-ma.anī ayyār dalīleñ
māñge tāñge falsafiyoñ ke farzī Tone
chhoḌ ta.avīz aur dhāge khel tamāshe
banda ban jā
ab to man jā
sīdhe muñh ab ādam-zādoñ jaisī ham se bāteñ kar
varna jo tū nahīñ hai is kī naql utārte
terā muñh bhī TeḌhā-meḌhā ho jā.egā
terī in ja.alī nazmoñ kā Tonā ulTā ho jā.egā
chhoD de yar ab khel tamashe
dekh swang rachate apna asli chehra kho baiThega
apne aap se jo ek rasmi sa rishta hai
hath us se bhi dho baiThega
chhoD de jhuTi shahwat ke masnui dawe
ishq-o-mohabbat ke ye jali nare
lazzat bhare talazumon ke bazari nutfe
jinnati tashbihon mein in chhoTi chhoTi kamingiyon ke giraate haklate buTe
be-mani ayyar dalilen
mange tange falsafiyon ke farzi Tone
chhoD tawiz aur dhage khel tamashe
banda ban ja
ab to man ja
sidhe munh ab aadam-zadon jaisi hum se baaten kar
warna jo tu nahin hai is ki naql utarte
tera munh bhi TeDha-meDha ho jaega
teri in jali nazmon ka Tona ulTa ho jaega
- Book : siip-volume-35 (Pg. 147)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.