ek kahani
pahāḌoñ se ghirī vaadī meñ, patthar se banī ik chār-dīvārī
aur is dīvār ke andar ka.ī kamre
hazāroñ saal kī vīrāniyāñ oḌhe khaḌe haiñ
inhī vīrān kamroñ meñ se ik kamrā
jahāñ tiin aadmī ik chārpā.ī par
ḳhud apne-āp se bāhar nikal kar is tarah baiThe hue haiñ
jaise apne aap meñ the hī nahīñ
vo tiin haiñ
bas tiin
aur chauthā mujassama hai
jo bāhar īstāda hai
har ik shai par añdhere
aur añdhere par sisaktī ḳhāmushī kā ḳhauf taarī hai
magar vo tīnoñ raushan haiñ
mukammal taur par raushan
na un par ḳhauf kā saaya
na koī huzn kī parchhā.īñ
vo bāteñ kar rahe haiñ
aur havā sākit khaḌī hai
gosh-bar-āvāz
lekin un kī bāteñ be-sadā haiñ
nā-gahāñ un tiin meñ se ek kī nazreñ havā kī samt uThtī haiñ
to vo ghabrā ke phir se chalne lagtī hai
havā chalte hī un kī guftugū āvāz meñ tabdīl hotī hai
aur us kī tez lahreñ sehn kī jānib lapaktī haiñ
to ik saaya sā lahrātā hai
saaya dekh kar un tiin meñ se ek
maare ḳhauf ke apne badan ko oḌh letā hai...
dūsre din sub.h jab ḳhurshīd kī kirnoñ ne darvāze pe dastak dī
to kamre meñ vo do the
aur...
bāhar do mujassame
pahaDon se ghiri wadi mein, patthar se bani ek chaar-diwari
aur is diwar ke andar kai kamre
hazaron sal ki viraniyan oDhe khaDe hain
inhi viran kamron mein se ek kamra
jahan tin aadmi ek chaarpai par
KHud apne-ap se bahar nikal kar is tarah baiThe hue hain
jaise apne aap mein the hi nahin
wo tin hain
bas tin
aur chautha mujassama hai
jo bahar istada hai
har ek shai par andhere
aur andhere par sisakti KHamushi ka KHauf tari hai
magar wo tinon raushan hain
mukammal taur par raushan
na un par KHauf ka saya
na koi huzn ki parchhain
wo baaten kar rahe hain
aur hawa sakit khaDi hai
gosh-bar-awaz
lekin un ki baaten be-sada hain
na-gahan un tin mein se ek ki nazren hawa ki samt uThti hain
to wo ghabra ke phir se chalne lagti hai
hawa chalte hi un ki guftugu aawaz mein tabdil hoti hai
aur us ki tez lahren sehn ki jaanib lapakti hain
to ek saya sa lahraata hai
saya dekh kar un tin mein se ek
mare KHauf ke apne badan ko oDh leta hai
dusre din subh jab KHurshid ki kirnon ne darwaze pe dastak di
to kamre mein wo do the
aur
bahar do mujassame
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.