ek kaifiyat
dhund ke darmiyān muallaq dinoñ meñ
ḳhushk lamhe mere andar girte rahte haiñ
aur dil ko bhar dete haiñ
maiñ qadam dharne se Dartā huuñ
sochtā huuñ
kahīñ kuchh TuuT na jaa.e
aur ārām kī ḳhvāhish-mand havā
niiñd se jaag na jaa.e
lambī farāġhatoñ meñ
āsmān kī ḳhālī nīlāhaToñ ko
gard se bharte dekhtā rahtā huuñ
ek jaise manāzir
farār kī ḳhvāhish meñ
chāroñ taraf dekhte rahte haiñ
chor rāste talāsh karte rahte haiñ
shaam hone se pahle hī
sardī ke tez reze
badan meñ utarne lagte haiñ
havā kī ġhair-maujūdagī meñ
bikhre hue ḳhushk lamhoñ ko
ḳhud hī jamā kartā huuñ
un se aag raushan kartā huuñ
ġhair-mahfūz rātoñ meñ jāgne ke liye
zinda rahne ke liye
dhund ke darmiyan muallaq dinon mein
KHushk lamhe mere andar girte rahte hain
aur dil ko bhar dete hain
main qadam dharne se Darta hun
sochta hun
kahin kuchh TuT na jae
aur aaram ki KHwahish-mand hawa
nind se jag na jae
lambi faraghaton mein
aasman ki KHali nilahaTon ko
gard se bharte dekhta rahta hun
ek jaise manazir
farar ki KHwahish mein
chaaron taraf dekhte rahte hain
chor raste talash karte rahte hain
sham hone se pahle hi
sardi ke tez reze
badan mein utarne lagte hain
hawa ki ghair-maujudagi mein
bikhre hue KHushk lamhon ko
KHud hi jama karta hun
un se aag raushan karta hun
ghair-mahfuz raaton mein jagne ke liye
zinda rahne ke liye
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 337)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.