ek kamra
ye naqsha hai us kamre kā ki jis kī
zamīn udāsī ugal rahī hai
chaar dīvāroñ meñ se ik jānib to maiñ huuñ
baqiyā atrāf se vahshat Tapaktī hai
apne kuchh yaar the haañ the
ġham-gusār the haañ the
mar ga.e kyā haañ mar ga.e
ajab hai ki ranj-e-rā.egānī bhī nahīñ rahā
shāyad ke ab ahd-e-javānī bhī nahīñ rahā
tere aur un sab ke gumānoñ se kahīñ duur
is ik kamre meñ
maiñ kā.enātī shu.ūr aur soch ko sameTe
apne hone kī vajah DhūñD rahā huuñ
ye naqsha hai us kamre ka ki jis ki
zamin udasi ugal rahi hai
chaar diwaron mein se ek jaanib to main hun
baqiya atraf se wahshat Tapakti hai
apne kuchh yar the han the
gham-gusar the han the
mar gae kya han mar gae
ajab hai ki ranj-e-raegani bhi nahin raha
shayad ke ab ahd-e-jawani bhi nahin raha
tere aur un sab ke gumanon se kahin dur
is ek kamre mein
main kaenati shuur aur soch ko sameTe
apne hone ki wajah DhunD raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.