ek ke badle sau sau paen
murġhī ne ik daana paayā
jhaT apne bachchoñ ko bulāyā
bachchoñ ne jab daana dekhā
har bachcha daane par lapkā
maiñ khā.ūñgā maiñ khā.ūñgā
murġhī bolī tauba tauba
aapas meñ ye jhagḌā kaisā
koī aisī raah nikāleñ
sab jī bhar kar daana khā leñ
aao mil kar miTTī khodeñ
miTTī meñ ye daana bo deñ
lo jī ham ne bo diyā daana
paanī dete haiñ rozāna
daana phūTā ban gayā paudā
nāzuk nāzuk pyārā pyārā
ik paude meñ jitne tinke
qudrat hī ne ugaa.e gin ke
har tinke par ik ik baalī
koī tinkā bhī nahīñ ḳhālī
rahm kiyā phir mere ḳhudā ne
har tinke meñ bhar diye daane
sūraj ne paude ko sukhāyā
baalī meñ dānoñ ko pakāyā
sub.h savere murġhī aa.ī
chhāj darāñtī chhalnī laa.ī
kaaTā kuuTā phaTkā chhānā
jam.a kiyā phir ik ik daana
dānoñ kā ik Dher lagāyā
phir apne bachchoñ ko bulāyā
aao pyāre bachcho aao
apnī mehnat kā phal khaao
mil kar khaao ḳhushī manāo
apne rab ke naġhme gaao
ham bhī aisī fasl ugā.eñ
ek daane ke sau sau paa.eñ
sab ke sab jī bhar kar khā.eñ
apne rab ke naġhme gaa.eñ
murghi ne ek dana paya
jhaT apne bachchon ko bulaya
bachchon ne jab dana dekha
har bachcha dane par lapka
main khaunga main khaunga
murghi boli tauba tauba
aapas mein ye jhagDa kaisa
koi aisi rah nikalen
sab ji bhar kar dana kha len
aao mil kar miTTi khoden
miTTi mein ye dana bo den
lo ji hum ne bo diya dana
pani dete hain rozana
dana phuTa ban gaya pauda
nazuk nazuk pyara pyara
ek paude mein jitne tinke
qudrat hi ne ugae gin ke
har tinke par ek ek baali
koi tinka bhi nahin KHali
rahm kiya phir mere KHuda ne
har tinke mein bhar diye dane
suraj ne paude ko sukhaya
baali mein danon ko pakaya
subh sawere murghi aai
chhaj daranti chhalni lai
kaTa kuTa phaTka chhana
jama kiya phir ek ek dana
danon ka ek Dher lagaya
phir apne bachchon ko bulaya
aao pyare bachcho aao
apni mehnat ka phal khao
mil kar khao KHushi manao
apne rab ke naghme gao
hum bhi aisi fasl ugaen
ek dane ke sau sau paen
sab ke sab ji bhar kar khaen
apne rab ke naghme gaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.