ek KHatun aur nujumi
ye pūchhā ik nujūmī se ḳhātūn ne savāl
mujh ko batāo to zarā qismat kā mere haal
karke hisāb-e-zā.icha us ne batā diyā
qismat kā haal is tarah un ko batā diyā
hogā achānak aap ke shauhar kā intiqāl
aur phir milegā aap ko ik dam bahut sā maal
ḳhātūn bolīñ itnā to ḳhud māntī huuñ maiñ
maiñ beva hone vaalī huuñ ye jāntī huuñ maiñ
ye bhī maiñ jāntī huuñ ki daulat maiñ pā.ūñgī
bas ye batā do maiñ to nahīñ pakḌī jā.ūñgī
ye puchha ek nujumi se KHatun ne sawal
mujh ko batao to zara qismat ka mere haal
karke hisab-e-zaicha us ne bata diya
qismat ka haal is tarah un ko bata diya
hoga achanak aap ke shauhar ka intiqal
aur phir milega aap ko ek dam bahut sa mal
KHatun bolin itna to KHud manti hun main
main bewa hone wali hun ye jaanti hun main
ye bhi main jaanti hun ki daulat main paungi
bas ye bata do main to nahin pakDi jaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.