ek KHwab
dhuñdlakoñ ke bārīk dhāgoñ meñ lipTī huī
mutma.in be-ḳhabar
maiñ ne dekhā vo mujh par jhukī thī
vo chashm-e-hasīñ jis ke har ang meñ māmtā thī
mujhe yuuñ lagā thā vo chashm-e-hasīñ to mujhe
bas mujhe ghūrtī hai
kisī aur ko dekhne kī use na to fursat
na himmat na ḳhvāhish
faqat markaz-e-hast ko dekhtī hai
mujhe dekhtī hai
maiñ us aañkh kī jhiil meñ tairte sabz bajre
kī darzoñ se riste hue garm sayyāl sone kī būñdoñ
ke pīchhe lapaktā rahā jugnuoñ se mujhe un dinoñ kaisī raġhbat thī
maiñ jalte-bujhte hue paikaroñ ko pakaḌ kar
unheñ apne tan par sajāne kī ḳhvāhish meñ
kis darja bebas huā thā
ki maiñ ḳhud bhī shāyad
chamakte hue jugnuoñ ke samundar meñ
ik jaltā bujhtā sā jugnū thā
apne hī ham-zād ko DhūñDhtā thā
zamāna vo maktab se bhāgā huā vahshī laḌkā
jo mere ta.āqub meñ gir gir ke pāgal huā thā
use dhun agar thī to bas is qadar thī
ki vo apnī muTThī meñ mujh ko giraftār kar ke dikhā.e
zamān-o-makāñ kī hadoñ meñ
kisī saaf taḳhtī ke chehre pe likkhe
siyāhī ke be-nām nuqte pe rukne kā ḳhūgar banā.e
magar maiñ to us aañkh ke āb-e-ġham kā shanāvar
zamāne kī muTThī meñ aane se bezār thā
jāntā thā ki zālim zamāna to vahshī parinde kī sūrat
gurasna nigāhoñ ke ġhurfoñ se mujh ko hamesha takegā
maiñ is baat se āshnā thā
ki maiñ gar rukā
to mujhe aañkh se garm aañsū kī sūrat Tapaknā paḌegā
kisī sabz motī kī ThanDī lahad meñ utarnā paḌegā
phir ek roz
vahshī parinde kī pahlī jhapaT mujh pe nāzil huī
aañkh rone lagī
aur maiñ zaḳhm ko chāTtā
jhiil ke pāniyoñ meñ sisaktā phirā
aañkh rotī rahī
har jhapaT par vo aañsū ke qatroñ meñ Dhal kar
kināroñ se bāhar nikal kar bikhartī huī
aur phir ek din
jhiil paanī ke amrit se ḳhālī huī
jalne bujhne ke aalam se āzād ho kar
zamān-o-makān kī hadoñ meñ
kisī saaf taḳhtī ke chehre pe dhabba banī
aur maiñ
niile ākāsh par chīḳhte aur hañste hue us parinde
kī āñkhoñ meñ apnī hī tasvīr ko dekh kar muskurāyā
siyāhī ke jaadū se bāhar nikal kar maiñ apne hī irfān se jagmagāyā
zamāna mujhe dekh kar mujh pe jhapTā
magar maiñ to ik jhiil thā mere andar zamānoñ ke bajre the
bajroñ se sayyāl sone kī kirneñ nikalne lagī thiiñ
zamāna mujhe apne panje meñ lene ko jhapTā magar ek pal meñ
vo ḳhud merī muTThī meñ mahbūs thā
ek jugnū jise maiñ ne māthe pe qashqa banā kar lagāyā
jise maiñ ne motī kī ThanDī lahad meñ utārā
jise maiñ ne ThanDī lahad ke kināre kā katba banāyā
dhundlakon ke barik dhagon mein lipTi hui
mutmain be-KHabar
main ne dekha wo mujh par jhuki thi
wo chashm-e-hasin jis ke har ang mein mamta thi
mujhe yun laga tha wo chashm-e-hasin to mujhe
bas mujhe ghurti hai
kisi aur ko dekhne ki use na to fursat
na himmat na KHwahish
faqat markaz-e-hast ko dekhti hai
mujhe dekhti hai
main us aankh ki jhil mein tairte sabz bajre
ki darzon se riste hue garm sayyal sone ki bundon
ke pichhe lapakta raha jugnuon se mujhe un dinon kaisi raghbat thi
main jalte-bujhte hue paikaron ko pakaD kar
unhen apne tan par sajaane ki KHwahish mein
kis darja bebas hua tha
ki main KHud bhi shayad
chamakte hue jugnuon ke samundar mein
ek jalta bujhta sa jugnu tha
apne hi ham-zad ko DhunDhta tha
zamana wo maktab se bhaga hua wahshi laDka
jo mere taaqub mein gir gir ke pagal hua tha
use dhun agar thi to bas is qadar thi
ki wo apni muTThi mein mujh ko giraftar kar ke dikhae
zaman-o-makan ki hadon mein
kisi saf taKHti ke chehre pe likkhe
siyahi ke be-nam nuqte pe rukne ka KHugar banae
magar main to us aankh ke aab-e-gham ka shanawar
zamane ki muTThi mein aane se bezar tha
jaanta tha ki zalim zamana to wahshi parinde ki surat
gurasna nigahon ke ghurfon se mujh ko hamesha takega
main is baat se aashna tha
ki main gar ruka
to mujhe aankh se garm aansu ki surat Tapakna paDega
kisi sabz moti ki ThanDi lahad mein utarna paDega
phir ek roz
wahshi parinde ki pahli jhapaT mujh pe nazil hui
aankh rone lagi
aur main zaKHm ko chaTta
jhil ke paniyon mein sisakta phira
aankh roti rahi
har jhapaT par wo aansu ke qatron mein Dhal kar
kinaron se bahar nikal kar bikharti hui
aur phir ek din
jhil pani ke amrit se KHali hui
jalne bujhne ke aalam se aazad ho kar
zaman-o-makan ki hadon mein
kisi saf taKHti ke chehre pe dhabba bani
aur main
nile aakash par chiKHte aur hanste hue us parinde
ki aankhon mein apni hi taswir ko dekh kar muskuraya
siyahi ke jadu se bahar nikal kar main apne hi irfan se jagmagaya
zamana mujhe dekh kar mujh pe jhapTa
magar main to ek jhil tha mere andar zamanon ke bajre the
bajron se sayyal sone ki kirnen nikalne lagi thin
zamana mujhe apne panje mein lene ko jhapTa magar ek pal mein
wo KHud meri muTThi mein mahbus tha
ek jugnu jise main ne mathe pe qashqa bana kar lagaya
jise main ne moti ki ThanDi lahad mein utara
jise main ne ThanDi lahad ke kinare ka katba banaya
- Book : Nirdbaan (Pg. 35)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.