ek laDka
shahr masnūī qahqahoñ se apne
din kā āġhāz kartā hai
magar ek laḌkā jo saarā din
cigarette ke dhueñ ke raqs ko dekhtā rahtā hai
vo baġhāvat kar chukā hai raat se
aur ab is ke badle ḳhudā se kisī
na.ī chiiz kī taḳhlīq kā mutālba kar rahā hai
vo ḳhudā se chhup kar
apne taḳhayyul se ek na.ī kā.enāt
taḳhlīq kar rahā hai
lekin us ke liye use samundar kī
machhliyoñ se kuchh rang udhār lene hoñge
vo zindagī ke canvas se saare rang
churā lenā chāhtā hai magar
samundar aur zindagī mil kar us ke sapnoñ ke saath
mubāsharat kar rahe haiñ
biis baras se apnī zindagī ko jhūTī loriyāñ
sunā kar vo thak chukā hai
is duniyā ne use sautelī maañ jitnā pyaar diyā hai
vo din raat bas is soch meñ mubtalā hai
ki kyā maiñ apne ḳhvāboñ se na.ī kā.enāt taḳhlīq kar sakūñgā
shahr masnui qahqahon se apne
din ka aaghaz karta hai
magar ek laDka jo sara din
cigarette ke dhuen ke raqs ko dekhta rahta hai
wo baghawat kar chuka hai raat se
aur ab is ke badle KHuda se kisi
nai chiz ki taKHliq ka mutalba kar raha hai
wo KHuda se chhup kar
apne taKHayyul se ek nai kaenat
taKHliq kar raha hai
lekin us ke liye use samundar ki
machhliyon se kuchh rang udhaar lene honge
wo zindagi ke canwas se sare rang
chura lena chahta hai magar
samundar aur zindagi mil kar us ke sapnon ke sath
mubasharat kar rahe hain
bis baras se apni zindagi ko jhuTi loriyan
suna kar wo thak chuka hai
is duniya ne use sauteli man jitna pyar diya hai
wo din raat bas is soch mein mubtala hai
ki kya main apne KHwabon se nai kaenat taKHliq kar sakunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.