ek laDki
ek laḌkī
jo mujhe dekh ke chalte chalte
muskurātī hai jhijaktī hai Thahar jaatī hai
aur maiñ bojh kitāboñ ke liye hāthoñ meñ
do qadam bach ke guzar jaatā huuñ
suniye
ye nāzuk-o-shīrīñ āvāz
duur tak mere ta'āqub meñ chalī aa.ī hai
aur maiñ apne ḳhayālāt meñ gum
pustakālay meñ simaT aatā huuñ
aur kuchh aur kitāboñ meñ izāfa kar ke
jab bhī aatā huuñ nikal kar bāhar
vahī laḌkī mujhe
ik moḌ pe aatī hai nazar
aur maiñ
jaan ke anjān sā ban jaatā huuñ
ek laDki
jo mujhe dekh ke chalte chalte
muskuraati hai jhijakti hai Thahar jati hai
aur main bojh kitabon ke liye hathon mein
do qadam bach ke guzar jata hun
suniye
ye nazuk-o-shirin aawaz
dur tak mere ta'aqub mein chali aai hai
aur main apne KHayalat mein gum
pustakalay mein simaT aata hun
aur kuchh aur kitabon mein izafa kar ke
jab bhi aata hun nikal kar bahar
wahi laDki mujhe
ek moD pe aati hai nazar
aur main
jaan ke anjaan sa ban jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.