ek laDki ne aaina dekha
ek laḌkī ne ā.īna dekhā
ā.īne meñ khile hue the phuul
ā.īne meñ charāġh jalte the
ā.īna ek rahguzar thā jahāñ
ḳhvāb ḳhvāboñ ke saath chalte the
ā.īne meñ banā huā thā baaġh
baaġh meñ shaam hone vaalī thī
(shām ke phailte añdhere meñ
laḌkiyāñ baaġh meñ nahīñ jātīñ)
ā.īne meñ na thā koī dariyā
ā.īne meñ na thā koī jañgal
ā.īne meñ na thā koī sahrā
ā.īne meñ na thā koī bādal
ā.īne meñ bas ik samundar thā
(laḌkiyāñ jis se Dartī rahtī haiñ)
aur samundar kī nīl-gūñ tah meñ
ek laḌkī ne ā.īna dekhā
ā.īne meñ khile hue the phuul
ā.īne meñ charāġh jalte the
ā.īna ek rahguzar thā jahāñ
ḳhvāb ḳhvāboñ ke saath chalte the
ek laDki ne aaina dekha
aaine mein khile hue the phul
aaine mein charagh jalte the
aaina ek rahguzar tha jahan
KHwab KHwabon ke sath chalte the
aaine mein bana hua tha bagh
bagh mein sham hone wali thi
(sham ke phailte andhere mein
laDkiyan bagh mein nahin jatin)
aaine mein na tha koi dariya
aaine mein na tha koi jangal
aaine mein na tha koi sahra
aaine mein na tha koi baadal
aaine mein bas ek samundar tha
(laDkiyan jis se Darti rahti hain)
aur samundar ki nil-gun tah mein
ek laDki ne aaina dekha
aaine mein khile hue the phul
aaine mein charagh jalte the
aaina ek rahguzar tha jahan
KHwab KHwabon ke sath chalte the
- Book : saarii nazmen (Pg. 626)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.