ek lamha
ek lamha
itnā bhayānak ho saktā hai
ki tumhārī yādāsht chhīn kar
tumheñ maazī meñ bhej de
ek din itnā
burā ho saktā hai
ki tumhārī saarī ḳhushiyāñ chhīn sake
ek raat itnī Darāonī
ho saktī hai
ki tumheñ kisī ḳhudā ko mānñe par majbūr kar de
ek mahīna
itnā manhūs ho saktā hai
ki tumhārā saarā saal
ishq kī nazar ho jaa.e
ek saal
tumhārī zindagī badal saktā hai
aur tum sadiyoñ tak
tārīḳh kī god meñ so sakte ho
ek lamha
itna bhayanak ho sakta hai
ki tumhaari yaadasht chhin kar
tumhein mazi mein bhej de
ek din itna
bura ho sakta hai
ki tumhaari sari KHushiyan chhin sake
ek raat itni Daraoni
ho sakti hai
ki tumhein kisi KHuda ko manne par majbur kar de
ek mahina
itna manhus ho sakta hai
ki tumhaara sara sal
ishq ki nazar ho jae
ek sal
tumhaari zindagi badal sakta hai
aur tum sadiyon tak
tariKH ki god mein so sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.