ek lamha
maiñ apnī zindagī se ek lamhe kā savālī huuñ
vo lamha jo mire naġhmoñ ko chhū kar jāvedāñ kar de
mire dil ko jagā de ruuh ke sho.ale javāñ kar de
na āñkhoñ meñ koī sūrat na koī naam hoñToñ par
na jaane kaun hai jo ruuh ko betāb rakhtā hai
sitāroñ kī tarah aa kar bikhar jaatā hai palkoñ par
na jaane kaun hai jo rāt-bhar be-ḳhvāb rakhtā hai
tumheñ dekhā to khil uThā mire ḳhvāboñ kā ā.īna
vahī nāzuk vahī ma.asūm sā chehra nazar aaya
tumhāre hoñT par bikhrī nazar aa.ī bahār apnī
tumhārā husn apnī ruuh kā hissa nazar aaya
mohabbat jab samundar ban chukī to sochnā kaisā
bahut mumkin hai in lahroñ meñ aa jaa.e kinārā bhī
Dubo de do diloñ ko itnā zālim ho nahīñ saktā
ye tūfāñ jo muqaddar hai tumhārā bhī hamārā bhī
tumhārī aañkh se Tapkā nahīñ ab tak koī aañsū
mire chāroñ taraf tūfān barpā hai qayāmat kā
mirī betāb ummīdoñ ko Thukrā do ki apnā lo
tumhāre faisle par faisla hai merī qismat kā
purānī ho chukī haiñ pyaar ke qadmoñ kī zanjīreñ
na.e raste pe apne aap hī sab TuuT jā.eñgī
hamāre sāmne hogī mohabbat kī na.ī manzil
mileñge ham to ye duniyā kī rasmeñ chhūT jā.eñgī
ye kaalā āsmāñ kuchh bhī nahīñ dhokā hai pal-bhar kā
charāġhāñ hī charāġhāñ ek din mahfil meñ hotā hai
taḌap kar ruuh pe girtī hai yuuñ bijlī mohabbat kī
dhuāñ āñkhoñ se uThtā hai ujālā dil meñ hotā hai
machaltā hai jo dil meñ aur hoñToñ tak nahīñ aatā
mohabbat kī tarah vo giit bhī ma.asūm hotā hai
sunātī hai tumhārī aañkh jab koī hasīñ naġhma
to mujh ko vaqt bhī Thahrā huā ma.alūm hotā hai
ye pyāse ḳhvāb ye vīrān shāmeñ aur ye tanhā.ī
tumhārī ruuh se bichhḌā huā āvāra saayā huuñ
abhī tak mere dil kā dard pahchānā nahīñ tum ne
jo palkoñ par nahīñ aate vo aañsū saath laayā huuñ
mohabbat jab kisī sangam pe miltī hai mohabbat se
to aisī lahr aatī hai ki duniyā bhiig jaatī hai
sulagtī dhaḌkaneñ palkoñ se chhan chhan kar barastī haiñ
zabāñ ḳhāmosh rahtī hai nazar va.ada nibhātī hai
tum aanā chāhtī ho dil kī dhaḌkan rok detī hai
ye kaisī kashmakash hai paañv rukte haiñ na chalte haiñ
na iqrār-e-tamanna hai na inkār-e-mohabbat hai
ye kaise diip haiñ zālim ki bujhte haiñ na jalte haiñ
maiñ apnī zindagī se ek lamha chhīn laayā huuñ
churā kar zindagī se koī lamha tum bhī le aao
mire hāthoñ meñ ik sāz-e-mohabbat hai bahut din se
bahāroñ kā koī ma.asūm naġhma tum bhī le aao
ham in naġhmoñ se ik bahtā huā dariyā banā Dāleñ
bhulā kar saarī duniyā ik na.ī duniyā banā Dāleñ
parāyā sā hai jo lamha use apnā banā Dāleñ
main apni zindagi se ek lamhe ka sawali hun
wo lamha jo mere naghmon ko chhu kar jawedan kar de
mere dil ko jaga de ruh ke shoale jawan kar de
na aankhon mein koi surat na koi nam honTon par
na jaane kaun hai jo ruh ko betab rakhta hai
sitaron ki tarah aa kar bikhar jata hai palkon par
na jaane kaun hai jo raat-bhar be-KHwab rakhta hai
tumhein dekha to khil uTha mere KHwabon ka aaina
wahi nazuk wahi masum sa chehra nazar aaya
tumhaare honT par bikhri nazar aai bahaar apni
tumhaara husn apni ruh ka hissa nazar aaya
mohabbat jab samundar ban chuki to sochna kaisa
bahut mumkin hai in lahron mein aa jae kinara bhi
Dubo de do dilon ko itna zalim ho nahin sakta
ye tufan jo muqaddar hai tumhaara bhi hamara bhi
tumhaari aankh se Tapka nahin ab tak koi aansu
mere chaaron taraf tufan barpa hai qayamat ka
meri betab ummidon ko Thukra do ki apna lo
tumhaare faisle par faisla hai meri qismat ka
purani ho chuki hain pyar ke qadmon ki zanjiren
nae raste pe apne aap hi sab TuT jaengi
hamare samne hogi mohabbat ki nai manzil
milenge hum to ye duniya ki rasmen chhuT jaengi
ye kala aasman kuchh bhi nahin dhoka hai pal-bhar ka
charaghan hi charaghan ek din mahfil mein hota hai
taDap kar ruh pe girti hai yun bijli mohabbat ki
dhuan aankhon se uThta hai ujala dil mein hota hai
machalta hai jo dil mein aur honTon tak nahin aata
mohabbat ki tarah wo git bhi masum hota hai
sunati hai tumhaari aankh jab koi hasin naghma
to mujh ko waqt bhi Thahra hua malum hota hai
ye pyase KHwab ye viran shamen aur ye tanhai
tumhaari ruh se bichhDa hua aawara saya hun
abhi tak mere dil ka dard pahchana nahin tum ne
jo palkon par nahin aate wo aansu sath laya hun
mohabbat jab kisi sangam pe milti hai mohabbat se
to aisi lahr aati hai ki duniya bhig jati hai
sulagti dhaDkanen palkon se chhan chhan kar barasti hain
zaban KHamosh rahti hai nazar wada nibhati hai
tum aana chahti ho dil ki dhaDkan rok deti hai
ye kaisi kashmakash hai panw rukte hain na chalte hain
na iqrar-e-tamanna hai na inkar-e-mohabbat hai
ye kaise dip hain zalim ki bujhte hain na jalte hain
main apni zindagi se ek lamha chhin laya hun
chura kar zindagi se koi lamha tum bhi le aao
mere hathon mein ek saz-e-mohabbat hai bahut din se
bahaaron ka koi masum naghma tum bhi le aao
hum in naghmon se ek bahta hua dariya bana Dalen
bhula kar sari duniya ek nai duniya bana Dalen
paraya sa hai jo lamha use apna bana Dalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.