ek manzar, ek aalam
din Dhale
mandiroñ ke kalas masjidoñ ke manāre gharoñ kī chhateñ
sone chāñdī ke paanī se Dhulne lage
qulla-e-koh se chashm-e-nazzāra lekin baḌī duur tak
pighle sone kī chādar ke nīche taḌaptā huā
gahrī zulmat kā ek bahr-e-zaḳhḳhār bhī
dekhtī rah ga.ī
kaisā manzar hai ye
maiñ abhī umr ke Dhalte sūraj kī duniyā nahīñ
phir bhī mere sunahre dopahre tabassum ke nīche kahīñ
āñsuoñ kā samundar na bechain ho
nīche aao zarā raf.at-e-bām se
aur dekho kabhī
kaisā aalam hai ye
din Dhale
mandiron ke kalas masjidon ke manare gharon ki chhaten
sone chandi ke pani se Dhulne lage
qulla-e-koh se chashm-e-nazzara lekin baDi dur tak
pighle sone ki chadar ke niche taDapta hua
gahri zulmat ka ek bahr-e-zaKHKHar bhi
dekhti rah gai
kaisa manzar hai ye
main abhi umr ke Dhalte suraj ki duniya nahin
phir bhi mere sunahre dopahre tabassum ke niche kahin
aansuon ka samundar na bechain ho
niche aao zara rafat-e-baam se
aur dekho kabhi
kaisa aalam hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.