ek manzum KHat
Interesting Fact
(شمس الرحمن فاروقی کے نام)
bhaa.ī
aisī nazm ab likhkhūñ kaise
isyāñ kī bāteñ hoñ jis meñ
yā aisī laḌkī kā qissa
paikar ho jis husn kā
jis ke tīr-e-nigāh se
siina koī huā ho zaḳhmī
aur phir
vasl kī aas meñ
jazbe us ke phisle hoñ to
aisī nazm ab likhkhūñ kaise
yā phir jis meñ
aisī laḌkī kā qissa ho
jis ne kisī kī havas ko pāgal sā ho banāyā
jis kī gahrī jhiil meñ bhaa.ī
us ne utar kar
pyaas bujhānī chāhī ho
jab aisī nazmeñ likh kar shā.ir
ḳhud ko bhī uryāñ kartā ho
aisī nazmeñ likhkhūñ kaise
aisī nazmeñ likhne par to
tauba kī bhī hājat hogī
bhaa.ī ab to
umr kī us sarhad par huuñ maiñ
jis ke baad jahannum hogā
jis meñ patthar aur paanī kā
aag ugaltā aur ubaltā
ek bhayānak manzar hogā
jis kā koī ant na hogā
aisā ātishnāk sā dariyā
lambā chauḌā shor machātā bahtā hogā
jis kā rang bhī kaalā hogā
jāñ-farsā nazzāra hogā
uf vo jaane kaisā hogā
vahīñ pe lekin
bulandiyoñ par jannat hogī
jis kī ārā.ish kī
koī had bhī na hogī
har-sū hogī rab kī tajallī
dil ko masarrat baḳhshne vaalā
manzar bhī lā-sānī hogā
mere nasīb meñ kyā likkhā hai
kaise jānūñ
allah jaane tab kyā hogā
maiñ us din kī tayyārī meñ
masrūf huuñ bhaa.ī
nā-mumkin hai jis se rihā.ī
ya.anī jiite jī hī ik din
sach kā ye talḳhāba-e-shīrīñ
har zī-rūh ko piinā hogā
maut kā zā.iqa chakhnā hogā
bhai
aisi nazm ab likhkhun kaise
isyan ki baaten hon jis mein
ya aisi laDki ka qissa
paikar ho jis husn ka
jis ke tir-e-nigah se
sina koi hua ho zaKHmi
aur phir
wasl ki aas mein
jazbe us ke phisle hon to
aisi nazm ab likhkhun kaise
ya phir jis mein
aisi laDki ka qissa ho
jis ne kisi ki hawas ko pagal sa ho banaya
jis ki gahri jhil mein bhai
us ne utar kar
pyas bujhani chahi ho
jab aisi nazmen likh kar shair
KHud ko bhi uryan karta ho
aisi nazmen likhkhun kaise
aisi nazmen likhne par to
tauba ki bhi hajat hogi
bhai ab to
umr ki us sarhad par hun main
jis ke baad jahannum hoga
jis mein patthar aur pani ka
aag ugalta aur ubalta
ek bhayanak manzar hoga
jis ka koi ant na hoga
aisa aatishnak sa dariya
lamba chauDa shor machata bahta hoga
jis ka rang bhi kala hoga
jaan-farsa nazzara hoga
uf wo jaane kaisa hoga
wahin pe lekin
bulandiyon par jannat hogi
jis ki aaraish ki
koi had bhi na hogi
har-su hogi rab ki tajalli
dil ko masarrat baKHshne wala
manzar bhi la-sani hoga
mere nasib mein kya likkha hai
kaise jaanun
allah jaane tab kya hoga
main us din ki tayyari mein
masruf hun bhai
na-mumkin hai jis se rihai
yani jite ji hi ek din
sach ka ye talKHaba-e-shirin
har zi-ruh ko pina hoga
maut ka zaiqa chakhna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.