ek maut ek ehtijaj
Interesting Fact
In the memory of Merlyn Monroe
los angeles ke zartāb shabistānoñ meñ
so ga.ī aaj vo āvāz ki jis kā jaadū
bū-e-gul ban ke uḌā kūcha-ba-kūcha har sū
ban ke ik chīḳh laraz jaatī hai ab kānoñ meñ
shab-e-gesū shafaq-e-lab ruḳh-e-tābāñ kī sahar
kho ga.e aaj añdheroñ ke sanam-ḳhānoñ meñ
ḳhvāhish-e-marg meñ Duubī huī shādāb-nazar
bujh ga.ī dard ke haibat-zada aivānoñ meñ
zulf-e-zarrīñ kī mahak phuul se hoñToñ kī hañsī
nashsha-e-husn meñ bahkī huī alhaḌ raftār
chashm-e-gul-gūñ kī kiran dast-e-hinā.ī kī bahār
Dhal ga.ī raat shab-e-rafta kī rūdād banī
ab bhī kuchh kahne ko betāb haiñ vo hoñT jinheñ
mil sakā mahfil-e-hastī meñ na izn-e-guftār
ab bhī siine meñ taḌaptā hai vo qalb-e-mahzūñ
mil sakī jis ko na be-laus mohabbat kī bahār
bistar-e-marg pe sākit hai vo naqsh-e-mānī
jis kī pur-nūr javānī ko havas-kāroñ ne
ma.abad-e-fan ke ḳhudāoñ ne jahāñ-dāroñ ne
ek miTtī huī tahzīb ke sardāroñ ne
qarya qarya sar-e-bāzār kiyā thā nīlām
gardish-e-vaqt ke dāman pe rahegā ilzām
los angeles ke zartab shabistanon mein
so gai aaj wo aawaz ki jis ka jadu
bu-e-gul ban ke uDa kucha-ba-kucha har su
ban ke ek chiKH laraz jati hai ab kanon mein
shab-e-gesu shafaq-e-lab ruKH-e-taban ki sahar
kho gae aaj andheron ke sanam-KHanon mein
KHwahish-e-marg mein Dubi hui shadab-nazar
bujh gai dard ke haibat-zada aiwanon mein
zulf-e-zarrin ki mahak phul se honTon ki hansi
nashsha-e-husn mein bahki hui alhaD raftar
chashm-e-gul-gun ki kiran dast-e-hinai ki bahaar
Dhal gai raat shab-e-rafta ki rudad bani
ab bhi kuchh kahne ko betab hain wo honT jinhen
mil saka mahfil-e-hasti mein na izn-e-guftar
ab bhi sine mein taDapta hai wo qalb-e-mahzun
mil saki jis ko na be-laus mohabbat ki bahaar
bistar-e-marg pe sakit hai wo naqsh-e-mani
jis ki pur-nur jawani ko hawas-karon ne
mabad-e-fan ke KHudaon ne jahan-daron ne
ek miTti hui tahzib ke sardaron ne
qarya qarya sar-e-bazar kiya tha nilam
gardish-e-waqt ke daman pe rahega ilzam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.