ek mojiza
aaj merī āñkhoñ ne
kyā kahūñ ki kyā dekhā
is hasīn duniyā kī
ik hasīn shai dekhī
shai na jāniye sāhib
balki yuuñ samajh liije
ek maḳhmalī chādar
par gulāb kī pattī
nuur ke jazīre par
ek chāñd kā TukḌā
dil kī ek majzūbī
ek husn kī duniyā
yūñhī ek goshe meñ
ik ḳhamosh sī laḌkī
nūr-bār-o-gul-afshāñ
pur-sukūn baiThī thī
us kī bholī āñkhoñ meñ
āsmāñ kī pariyoñ ne
kājaleñ lagā.īñ thiiñ
us ke donoñ gāloñ par
ḳhuld ke gulāboñ ne
lāliyāñ bikherīñ thiiñ
us kī zulf kī chhāoñ
jāñ-ba-lab parindoñ kī
jaañ bahāl kartī thī
rang us ke hoñToñ kā
mo'jize dikhātā thā
vo kalām kartī thī
dil laraztā jaatā thā
aaj merī āñkhoñ ne
kyā kahūñ ki kyā dekhā
ek mo'jiza dekhā
ek mo'jiza dekhā
aaj meri aankhon ne
kya kahun ki kya dekha
is hasin duniya ki
ek hasin shai dekhi
shai na jaaniye sahib
balki yun samajh lije
ek maKHmali chadar
par gulab ki patti
nur ke jazire par
ek chand ka TukDa
dil ki ek majzubi
ek husn ki duniya
yunhi ek goshe mein
ek KHamosh si laDki
nur-bar-o-gul-afshan
pur-sukun baiThi thi
us ki bholi aankhon mein
aasman ki pariyon ne
kajalen lagain thin
us ke donon galon par
KHuld ke gulabon ne
laliyan bikherin thin
us ki zulf ki chhaon
jaan-ba-lab parindon ki
jaan bahaal karti thi
rang us ke honTon ka
mo'jize dikhata tha
wo kalam karti thi
dil larazta jata tha
aaj meri aankhon ne
kya kahun ki kya dekha
ek mo'jiza dekha
ek mo'jiza dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.