ek na-malum sa rishta
qubūliyat se kahīñ duur maiñ sochūñgā
ki tum mirī ruuh nahīñ ho
aur na jism ho
aur
ye sach hī to hai
tum mire kuchh bhī nahīñ ho
ek nā-mā'lūm sā rishta
jis kā koī maḳhsūs naam nahīñ hai
ye zarūr hai
ki tumhārā merā ek nā-mā'lūm sā vāsta hai
rābta hai
mumkin hai tum merī be-rabt be-tartīb bātoñ ko sun kar
vahshat se kah do
ki ye ek pāgal hai
aur
ye bhī yaqīn hai
ki
maiñ tumheñ ek din pā lūñgā
aur us din rishta mahrūm ho jā.egā
aur us ke baa'd
maiñ ḳhāmosh huuñ
ḳhāmosh huuñ
qubuliyat se kahin dur main sochunga
ki tum meri ruh nahin ho
aur na jism ho
aur
ye sach hi to hai
tum mere kuchh bhi nahin ho
ek na-ma'lum sa rishta
jis ka koi maKHsus nam nahin hai
ye zarur hai
ki tumhaara mera ek na-ma'lum sa wasta hai
rabta hai
mumkin hai tum meri be-rabt be-tartib baaton ko sun kar
wahshat se kah do
ki ye ek pagal hai
aur
ye bhi yaqin hai
ki
main tumhein ek din pa lunga
aur us din rishta mahrum ho jaega
aur us ke ba'd
main KHamosh hun
KHamosh hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.