Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek naghma karbala-e-beirut ke liye

Translated By: Naomi Lazard

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz

ek naghma karbala-e-beirut ke liye

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    This Nazm was dedicated to Lebnan's capital Beirut and Faiz was in Beirut itself at that time, around 1952

    beirut nigār-e-bazm-e-jahāñ

    beirut badīl-e-bāġh-e-jināñ

    bachchoñ hañstī āñkhoñ ke

    jo aa.ine chaknā-chūr hue

    ab un ke sitāroñ lau se

    is shahr rāteñ raushan haiñ

    aur raḳhshāñ hai arz-e-labnāñ

    beirut nigār-e-bazm-e-jahāñ

    jo chehre lahū ke ġhāze

    zīnat se sivā pur-nūr hue

    ab un ke rañgīñ partav se

    is shahr galiyāñ raushan haiñ

    aur tābāñ hai arz-e-labnāñ

    beirut nigār-e-bazm-e-jahāñ

    har vīrāñ ghar, har ek khañDar

    ham pā-e-qasr-e-dārā hai

    har ġhāzī rashk-e-askandar

    har duḳhtar ham-sar-e-lailā hai

    ye shahr azal se qaa.em hai

    ye shahr abad tak daa.im hai

    beirut nigār-e-bazm-e-jahāñ

    beirut badīl-e-bāġh-e-jināñ

    Battleground

    beirut nigar-e-bazm-e-jahan

    beirut badil-e-bagh-e-jinan

    bachchon ki hansti aankhon ke

    jo aaine chakna-chur hue

    ab un ke sitaron ki lau se

    is shahr ki raaten raushan hain

    aur raKHshan hai arz-e-labnan

    beirut nigar-e-bazm-e-jahan

    jo chehre lahu ke ghaze ki

    zinat se siwa pur-nur hue

    ab un ke rangin partaw se

    is shahr ki galiyan raushan hain

    aur taban hai arz-e-labnan

    beirut nigar-e-bazm-e-jahan

    har viran ghar, har ek khanDar

    hum pa-e-qasr-e-dara hai

    har ghazi rashk-e-askandar

    har duKHtar ham-sar-e-laila hai

    ye shahr azal se qaem hai

    ye shahr abad tak daim hai

    beirut nigar-e-bazm-e-jahan

    beirut badil-e-bagh-e-jinan

    Battleground

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 698)
    • Publication : Educational Publishing House (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now