ek nazar
sote sote jo yakāyak kabhī khul jaatī hai aañkh
nīm-bedārī meñ aatī hai nazar ek nazar
kahkashāñ se bhī ziyāda hai latāfat us meñ
āḳhir-e-shab ke mah-e-nīm-farozāñ kī tarah
ḳhvāb-āvar sī shuāoñ meñ hai lipTī lipTī
phir bhī is narm nigāhī meñ haiñ kyā tiir chhupe
tanz hai talḳhī-e-daurāñ kā ik afsāna hai
is meñ hasrat bhī shikāyat bhī ġham-e-furqat bhī
dil laraz jaatā hai aur hotī hai vahshat taarī
mujh ko mahsūs ye hotā hai ki mujrim maiñ huuñ
aisā lagtā hai ki toḌā hai kisī ke dil ko
dil jo ma.asūm thā be-laus thā pākīza thā
kyā karūñ kyā na karūñ koī mudāvā bhī nahīñ
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ye muamma kyā hai
niiñd se uThte zarā Dar sā mujhe lagtā hai
nīm-bedārī meñ aatī hai nazar ek nazar
aah vo mīThī nazar talḳh nazar paak nazar
tīr-o-nashtar haiñ chhupe kitnī hai saffāk nazar
yaad kuchh bhī nahīñ aatā mujhe us ke aage
haañ kisī yug meñ kisī ne mirī puujā kī thī
maiñ ne us ko to magar ġhaur se dekhā bhī nahīñ
pyaar kī bheñT chaḌhāne kabhī aayā thā koī
maiñ ne muñh pher liyā devī thī maiñ patthar kī
lekin is baat ko kitne hī janam biit ga.e
phir bhī pīchhā mirā karne se na vo baaz aayā
yuuñ hī sadiyoñ se hai mere hī liye āvāra
nīm-bedārī meñ aatī hai nazar ek nazar
sote sote jo yakayak kabhi khul jati hai aankh
nim-bedari mein aati hai nazar ek nazar
kahkashan se bhi ziyaada hai latafat us mein
aaKHir-e-shab ke mah-e-nim-farozan ki tarah
KHwab-awar si shuaon mein hai lipTi lipTi
phir bhi is narm nigahi mein hain kya tir chhupe
tanz hai talKHi-e-dauran ka ek afsana hai
is mein hasrat bhi shikayat bhi gham-e-furqat bhi
dil laraz jata hai aur hoti hai wahshat tari
mujh ko mahsus ye hota hai ki mujrim main hun
aisa lagta hai ki toDa hai kisi ke dil ko
dil jo masum tha be-laus tha pakiza tha
kya karun kya na karun koi mudawa bhi nahin
kuchh samajh mein nahin aata ye muamma kya hai
nind se uThte zara Dar sa mujhe lagta hai
nim-bedari mein aati hai nazar ek nazar
aah wo miThi nazar talKH nazar pak nazar
tir-o-nashtar hain chhupe kitni hai saffak nazar
yaad kuchh bhi nahin aata mujhe us ke aage
han kisi yug mein kisi ne meri puja ki thi
main ne us ko to magar ghaur se dekha bhi nahin
pyar ki bhenT chaDhane kabhi aaya tha koi
main ne munh pher liya dewi thi main patthar ki
lekin is baat ko kitne hi janam bit gae
phir bhi pichha mera karne se na wo baz aaya
yun hi sadiyon se hai mere hi liye aawara
nim-bedari mein aati hai nazar ek nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.