ek nazm
udāsī ke piile daraḳhtoñ kī shāḳhoñ se chipke hue
sabz pattoñ meñ terā tajassus
mire jism kī TūTtī sarhadoñ par
ḳhayāloñ ke sāyoñ ko rusvā karegā
kueñ ke andhere kī bhīgī huī
jāmunī aañkh kī gol chiknā.ī ke
surḳh ḳhvāboñ ke andar
javāñ lams ke ek jañgalī kabūtar ke
phaile hue par ufuq ko chhuveñge
mujhe band kamre meñ baiThā huā dekh kar
gol khiḌkī ke shīshoñ pe
bārish ke qatroñ kī āñkheñ khuleñgī
koī marmarīñ haath ThanDī havā meñ
mujhe apnī jānib bulā.egā lekin
mujhe ḳhauf hai terā piilā tajassus
samundar pe phailī huī sūrajī shaam kī sīḌhiyoñ se
tujhe ḳhud-kushī kī taraf le na jaa.e
udasi ke pile daraKHton ki shaKHon se chipke hue
sabz patton mein tera tajassus
mere jism ki TuTti sarhadon par
KHayalon ke sayon ko ruswa karega
kuen ke andhere ki bhigi hui
jamuni aankh ki gol chiknai ke
surKH KHwabon ke andar
jawan lams ke ek jangali kabutar ke
phaile hue par ufuq ko chhuwenge
mujhe band kamre mein baiTha hua dekh kar
gol khiDki ke shishon pe
barish ke qatron ki aankhen khulengi
koi marmarin hath ThanDi hawa mein
mujhe apni jaanib bulaega lekin
mujhe KHauf hai tera pila tajassus
samundar pe phaili hui suraji sham ki siDhiyon se
tujhe KHud-kushi ki taraf le na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.