ek nazm
fazā meñ ik sukūn thā
har taraf sahme hue se zard chehre
pyaas ke maare zamīñ par gir rahe the
aur kuchh be-rahm daatā
bebasī kā ye tamāshā
dekh kar ḳhush ho rahe the
garm pyāsī ret par baiThe hue
saare kisī ke muntazir the
vaqt ke daatā sabhī
ḳhud-sāḳhta ḳholoñ meñ lipTe so rahe the
aur bāhar
pyaas kā sahrā musalsal muñh chiḌhātā thā
ki itne meñ
usī sahrā kī qismat khul ga.ī
phir
ek chashma phuuT kar
sahrā kī taptī ret par
bahne lagā ik dāstāñ kahne lagā
chhoTe baḌe patthar bikhar kar reza reza ho ga.e
saarī purānī gard pal meñ bah ga.ī
aur sirf paanī kī ravānī rah ga.ī
jo saare bhārī aur bosīda butoñ ko bhī
bahā kar le ga.ī
chāroñ taraf ik raushnī phailī
sabhī chehroñ ne sukh kā saañs paayā
aur ik ḳhush-kun safar ke ḳhvāb dekhe
aur phir
ik sāzishī lamha
badan par zulm kī sañgīñ qabā pahne
bahīmāna ra.ūnat sar pe rakkhe
apne bhārī bhārī būToñ meñ
hamārī umr bhar kī mehnatoñ aur ḳhvāhishoñ ke
us ujāle ko churā kar le gayā
jo saiñkaḌoñ tārīk lamhoñ ke
samundar se hameñ hāsil huā thā
faza mein ek sukun tha
har taraf sahme hue se zard chehre
pyas ke mare zamin par gir rahe the
aur kuchh be-rahm data
bebasi ka ye tamasha
dekh kar KHush ho rahe the
garm pyasi ret par baiThe hue
sare kisi ke muntazir the
waqt ke data sabhi
KHud-saKHta KHolon mein lipTe so rahe the
aur bahar
pyas ka sahra musalsal munh chiDhata tha
ki itne mein
usi sahra ki qismat khul gai
phir
ek chashma phuT kar
sahra ki tapti ret par
bahne laga ek dastan kahne laga
chhoTe baDe patthar bikhar kar reza reza ho gae
sari purani gard pal mein bah gai
aur sirf pani ki rawani rah gai
jo sare bhaari aur bosida buton ko bhi
baha kar le gai
chaaron taraf ek raushni phaili
sabhi chehron ne sukh ka sans paya
aur ek KHush-kun safar ke KHwab dekhe
aur phir
ek sazishi lamha
badan par zulm ki sangin qaba pahne
bahimana raunat sar pe rakkhe
apne bhaari bhaari buTon mein
hamari umr bhar ki mehnaton aur KHwahishon ke
us ujale ko chura kar le gaya
jo sainkaDon tarik lamhon ke
samundar se hamein hasil hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.