ek nazm
ghar banā kar qaid ho jaane se behtar hai ki ham
ḳhema-e-aflāk ke nīche guzāreñ zindagī
jis kī koī had nahīñ
ik sire se ham safar āġhāz bhī kar leñ agar
maut tak duuje sire ko pā na pā.eñge kabhī
kis liye phir muḳhtasar sī
chār-dīvārī meñ ḳhud ko qaid karne ke liye
ghar banāne kī tamannā ham kareñ
qaid hī maut hai aur maut se
jis qadar mumkin ho utnā duur rahnā chāhiye
ghar bana kar qaid ho jaane se behtar hai ki hum
KHema-e-aflak ke niche guzaren zindagi
jis ki koi had nahin
ek sire se hum safar aaghaz bhi kar len agar
maut tak duje sire ko pa na paenge kabhi
kis liye phir muKHtasar si
chaar-diwari mein KHud ko qaid karne ke liye
ghar banane ki tamanna hum karen
qaid hi maut hai aur maut se
jis qadar mumkin ho utna dur rahna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.