ek nazm
ba-zāhir ajnabī ho tum
magar bosoñ kī be-kaifī batātī hai
ki ye vo zahr hai chakkhā hai jis ko bār-hā maiñ ne
na jaane jazb hai mere laboñ meñ kitne ruḳhsāroñ kī kaḌvāhaT
ye sab ḳhamyāza hai
us bosa-e-avval kā dil bhūlā nahīñ jis kī halāvat ko
maiñ us ko bār-hā samjhā chukā huuñ
māzī-e-marhūm kā mātam to kar sakte haiñ, vāpas lā nahīñ sakte
magar dil, dil hai is ko kaun samjhā.e
yaqīñ hai aaj tak us lamha-e-avval kī is ko bāzyābī kā
asīr-e-vahm hai itnā
gumāñ hone lagā hai reg-e-sahrā par bhī paanī kā
ise dīvāngī kah lo
farāz-e-tishnagī samjho
ba-zahir ajnabi ho tum
magar boson ki be-kaifi batati hai
ki ye wo zahr hai chakkha hai jis ko bar-ha main ne
na jaane jazb hai mere labon mein kitne ruKHsaron ki kaDwahaT
ye sab KHamyaza hai
us bosa-e-awwal ka dil bhula nahin jis ki halawat ko
main us ko bar-ha samjha chuka hun
mazi-e-marhum ka matam to kar sakte hain, wapas la nahin sakte
magar dil, dil hai is ko kaun samjhae
yaqin hai aaj tak us lamha-e-awwal ki is ko bazyabi ka
asir-e-wahm hai itna
guman hone laga hai reg-e-sahra par bhi pani ka
ise diwangi kah lo
faraaz-e-tishnagi samjho
- Book : Kulliyat Gopal Mittal (Pg. 123)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.