ek nazm
ham
āḳhirī baar kisī
ḳhvāb meñ mile the
lekin
sharāb shahd
aur panīr kā zā.iqa bhī
alvidā'ī bose kī lazzat
dhuñdlā nahīñ sakā
tum se
bichhaḌne ke baa'd
maiñ ne
kabhī
āñsuoñ par
barā.e-faroḳht kā Tag nahīñ lagāyā
aur
apne
qahqahoñ kā khokhlā-pan
saarī zindagī
jur’a jur’a piitā rahā
tumhārī āñkheñ
kisī farāmosh-shuda
station ke book stall par Tañgī
rah ga.iiñ
aur bāteñ
ḳhāmushī ke tāqchoñ meñ jaltī rahīñ
adhūre ‘ahd-nāmoñ pe likhe naam
tārīḳh kī yād-dāsht
se mahv ho jaate haiñ
lekin ek nazm
unheñ zinda rakh saktī hai
hum
aaKHiri bar kisi
KHwab mein mile the
lekin
sharab shahd
aur panir ka zaiqa bhi
alwida'i bose ki lazzat
dhundla nahin saka
tum se
bichhaDne ke ba'd
main ne
kabhi
aansuon par
barae-faroKHt ka Tag nahin lagaya
aur
apne
qahqahon ka khokhla-pan
sari zindagi
jur’a jur’a pita raha
tumhaari aankhen
kisi faramosh-shuda
station ke book stall par Tangi
rah gain
aur baaten
KHamushi ke taqchon mein jalti rahin
adhure ‘ahd-namon pe likhe nam
tariKH ki yaad-dasht
se mahw ho jate hain
lekin ek nazm
unhen zinda rakh sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.