ek nazm jangalon ke nam
zamīn sho.ale ugal rahī hai
fazā se tezāb gir rahā hai
zamīn agnī pe loTtī hai
havā.eñ chehra bigāḌtī haiñ
sunā to thā
aaj dekhte haiñ
yahāñ havā.eñ haiñ nār-sīrat
azal se le kar abad talak be-qarār hoñgī
hamārī rūheñ
janm janm tak
bhaTak bhaTak kar
fanā fanā be-karāñ tabāhī kā naam le kar
na peḌ hoñge
na qumriyoñ ke surīle naġhme
shivālikā par na koī jogī
sadā-e-jashn-e-bahār degā
koī qalandar na koī ruumī
na.e suroñ kī talāsh karne
kisī niystāñ meñ jā rukegā
zamin shoale ugal rahi hai
faza se tezab gir raha hai
zamin agni pe loTti hai
hawaen chehra bigaDti hain
suna to tha
aaj dekhte hain
yahan hawaen hain nar-sirat
azal se le kar abad talak be-qarar hongi
hamari ruhen
janm janm tak
bhaTak bhaTak kar
fana fana be-karan tabahi ka nam le kar
na peD honge
na qumriyon ke surile naghme
shiwalika par na koi jogi
sada-e-jashn-e-bahaar dega
koi qalandar na koi rumi
nae suron ki talash karne
kisi niystan mein ja rukega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.