ek nazm
qadam do qadam chal ke thak sā gayā hai
hamāre muqaddar kā insāñ...
daraḳhtoñ ne apne ka.ī saare pazhmurda patte
havāoñ ke ghar se bulā.e haiñ
thake-hāre rah-rav pe saaya kareñ
us kī ḳhātir shikasta diloñ kā koī giit
sab mil ke gā.eñ!
zamīñ ne kahā hai, ye insāñ nahīñ thā
vagarna yuuñ raste meñ apne irāde kī hitak na kartā
yuuñ apne hī saa.e se be-kār ḳhā.if na hotā
na manzil se ghabrā ke raste meñ girtā
yuuñ apne gharāne kī tauhīn kartā!
hamāre muqaddar kā insān manzil-ba-manzil
sitāroñ se guzrā hai, bazm-e-nujūm-o-qamar jagmagā kar
nishān-e-qadam ban ga.ī hai
shikasta diloñ kā sanam ban ga.ī hai
ḳhudā.ī ke phaile hue silsile haiñ haram ban ga.ī hai
qadam do qadam chal ke thak sa gaya hai
hamare muqaddar ka insan
daraKHton ne apne kai sare pazhmurda patte
hawaon ke ghar se bulae hain
thake-haare rah-raw pe saya karen
us ki KHatir shikasta dilon ka koi git
sab mil ke gaen!
zamin ne kaha hai, ye insan nahin tha
wagarna yun raste mein apne irade ki hitak na karta
yun apne hi sae se be-kar KHaif na hota
na manzil se ghabra ke raste mein girta
yun apne gharane ki tauhin karta!
hamare muqaddar ka insan manzil-ba-manzil
sitaron se guzra hai, bazm-e-nujum-o-qamar jagmaga kar
nishan-e-qadam ban gai hai
shikasta dilon ka sanam ban gai hai
KHudai ke phaile hue silsile hain haram ban gai hai
- Book : Urdu International (Pg. 70)
- Author : Ashfaq Hussain
- Publication : 9, Thirty fifth Street, 2, Toronto, Ontario, Canada M8w 3J8 (Nov. Dec. Jan. 1982, Volume 1, No.2)
- Edition : Nov. Dec. Jan. 1982, Volume 1, No.2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.