ek nazm
maiñ ne DhūñDā tumheñ lamhoñ ke siyah-ḳhāne meñ
surmagīñ raat kā larzīda sitāra jaise
umr jis kī ho bas ik shab kī pareshāñ-nazarī
tum ne dekhā mujhe
ayyām ke chaTḳhe hue ā.īne meñ
sham.a-e-ḳhud-soḳhta kī tarah
pighalte hue lamha lamha
barq-pā vaqt kī har mauj hai
ḳhāshāk haiñ ye shām-o-sahar ye mah-o-sāl
koī larzīda sitāra
koī har lahza pighaltī huī sham-e-hastī
raat kī bāñhoñ meñ
chand dahke hue angāroñ kī sauġhāt liye
kisī maqsūm kisī ma.anī-e-mauhūm kā rishta DhūñDeñ
ye bhī mumkin nahīñ
ye bhī nahīñ taqdīr-e-vajūd
barq-pā vaqt kī har mauj hai
sīmāb se asnām tarashte haiñ kahāñ
halqa-dar-halqa habāboñ hī kī zanjīreñ haiñ
kyā kisī ḳhvāb ke chehre se uThā.e koī sangīn haqīqat kī naqāb
kyoñ kisī barq-sifat lamhe kā dāman thāme
kis liye kho.e hue vaqt kā mātam
ki ye mātam-kada fardā bhī hai imroz bhī
dīroz bhī hai
main ne DhunDa tumhein lamhon ke siyah-KHane mein
surmagin raat ka larzida sitara jaise
umr jis ki ho bas ek shab ki pareshan-nazari
tum ne dekha mujhe
ayyam ke chaTKHe hue aaine mein
shama-e-KHud-soKHta ki tarah
pighalte hue lamha lamha
barq-pa waqt ki har mauj hai
KHashak hain ye sham-o-sahar ye mah-o-sal
koi larzida sitara
koi har lahza pighalti hui sham-e-hasti
raat ki banhon mein
chand dahke hue angaron ki saughat liye
kisi maqsum kisi mani-e-mauhum ka rishta DhunDen
ye bhi mumkin nahin
ye bhi nahin taqdir-e-wajud
barq-pa waqt ki har mauj hai
simab se asnam tarashte hain kahan
halqa-dar-halqa hababon hi ki zanjiren hain
kya kisi KHwab ke chehre se uThae koi sangin haqiqat ki naqab
kyon kisi barq-sifat lamhe ka daman thame
kis liye khoe hue waqt ka matam
ki ye matam-kada farda bhi hai imroz bhi
diroz bhi hai
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 43)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.