ek nazm
hazār jhilmilāte paikar
riste paanī meñ āḌī-tirchhī
jhamaktī bauchhār ban ga.e
har ek dīvār aur dar se
shajar shajar se
nikal nikal kar
khulī saḌak par
lahakte gaate
qadam qadam par diye jalāte
hasīn nazmoñ meñ Dhal rahā hai
na jaane kyā ho
agar ye aalam tamām apnā naqāb ulaT de
na jaane kyā ho jo saare asrār khul chuke hoñ
yahī bahut hai
kabhī kabhī jhilmilāte paikar
uThā ke ghūñghaT jhalak dikhā deñ
hazar jhilmilate paikar
riste pani mein aaDi-tirchhi
jhamakti bauchhaar ban gae
har ek diwar aur dar se
shajar shajar se
nikal nikal kar
khuli saDak par
lahakte gate
qadam qadam par diye jalate
hasin nazmon mein Dhal raha hai
na jaane kya ho
agar ye aalam tamam apna naqab ulaT de
na jaane kya ho jo sare asrar khul chuke hon
yahi bahut hai
kabhi kabhi jhilmilate paikar
uTha ke ghunghaT jhalak dikha den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.