ek nazm
ye log lams ke mele se be-ḳhabar chup-chāp
gharoñ kī samt ravāñ haiñ
ye haspatāl ye shor
ye park rātoñ kī bastī haiñ ishtihāroñ ke lafz
ye board kuchlī huī jins kī 'alāmat haiñ
thake hue haiñ ye sab ḳhāke masḳh haiñ chehre
vahāñ khaḌī hai kisī bus ke intizār kī bhiiḌ
kisī ko halkā sā ik dhakkā de ke ye dekho
vo baḌbaḌātā hai yā mo'atabar ravayye ko
badan se apne alag kar ke gaalī baktā hai
yahāñ Darāma to chhoTā sā khel kar dekho
ki make-upoñ kī tahoñ meñ gaḌe hue chehre
dhulī-dhulā.ī shabāhat se kyoñ mumāsil haiñ
sharīf chehroñ ke ye ḳhol
kis tarah
chechak
kamīngī ko chhupāte haiñ
tez nazroñ se
ye log lams ke mele se be-KHabar chup-chap
gharon ki samt rawan hain
ye haspatal ye shor
ye park raaton ki basti hain ishtihaaron ke lafz
ye board kuchli hui jins ki 'alamat hain
thake hue hain ye sab KHake masKH hain chehre
wahan khaDi hai kisi bus ke intizar ki bhiD
kisi ko halka sa ek dhakka de ke ye dekho
wo baDbaData hai ya mo'atabar rawayye ko
badan se apne alag kar ke gali bakta hai
yahan Darama to chhoTa sa khel kar dekho
ki make-upon ki tahon mein gaDe hue chehre
dhuli-dhulai shabahat se kyon mumasil hain
sharif chehron ke ye KHol
kis tarah
chechak
kamingi ko chhupate hain
tez nazron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.