ek nazm zamin walon ke nam
havā
kuchh aisī chalī
ki ḳheme ukhaḌ ga.e haiñ
ġhubār aisā ġhubār uThā
ki dhuul āñkhoñ meñ jam ga.ī hai
charāġh bhaḌkeñ
to is meñ un kā qusūr kyā hai
shumāl kī
ye havā
kuchh aisī sharīr-o-gustāḳh hai
jo baḌh kar
bhaḌaknā un ko sikhā rahī hai
jalā rahī hai
bujhā rahī hai
havā kuchh aisī chalī ki ḳheme ukhaḌ ga.e haiñ
charāġh donoñ taraf ke
itne bujhe ki manzar bhī ro rahā hai
siyah libādoñ siyah naqāboñ kā raaj har-sū
kahāñ ke rishte
kahāñ ke naate
kahāñ ke rishte
kahāñ kī manzil
chahār samtoñ meñ aag aisī lagī huī hai
bujhānā chāheñ to baḌh rahī hai
badan-darīda kafan-darīda paḌī haiñ lāsheñ
saroñ meñ āñchal
badan se zevar
utar chuke haiñ
jo ḳhvāb dekhe the ham ne
vo ḳhvāb
mar chuke haiñ
havā kuchh aisī chalī
ki ḳheme ukhaḌ ga.e haiñ
hamāre ghar meñ
tamām chehre the raushnī ke
tamām chehroñ se raushnī thī
vo ġhair the
ye sunā thā maiñ ne
magar maiñ jin par
duā.eñ paḌh paḌh ke phūñktā thā
vo merā ghar phūñkne ko aa.e
bas ek dīvār biich meñ thī
vahī paḌosī bhī aa.e
ḳhanjar-ba-dast aa.e
ye kaisī āñdhī chalī ki chehre bigaḌ ga.e haiñ
havā kuchh aisī chalī ki ḳheme ukhaḌ ga.e haiñ
na koī aḳhbār hai jo kīchaḌ meñ
phuul jaisā khilā huā hai
na radio meñ ḳhabar kī ḳhushbū
na dūrdarshan meñ hai vo manzar
jo mujh ko
sūraj dikhā rahā hai
ajiib mausam hai
shahr-e-dil meñ
na aañkh apnī
na kaan apne
na paañv apne
pata nahīñ ham
ye kis kī āñkhoñ se dekhte haiñ
ye kis ke kānoñ se sun rahe haiñ
ye kis ke pairoñ se chal rahe haiñ
ajiib mausam hai
shahr-e-dil meñ
zamīn vaale
to aaj dekho
ḳhalā meñ gardish lagā rahe haiñ
samundaroñ par
makān apne banā rahe haiñ
isī zamīñ par
rishī munī aur nabī bhī aa.e
tamām samtoñ ke vāste
ik payām laa.e
magar maiñ itnā hī jāntā huuñ
zamīn par zulm ho rahā hai
zamīn vaale hī kar rahe haiñ
vahāñ farishtoñ ne sach kahā thā
magar ḳhudā jāntā thā sab kuchh
vo aaj bhī jāntā hai sab kuchh
vo āsmāñ se
utar ke
apnī zamīñ par aa.egā
bhuul jaao
vo apne hāthoñ se
is zamīñ ko
hasīñ banā.egā
bhuul jaao
charāġh andar charāġh tum ho
kitāb andar kitāb tum ho
savāl andar savāl tum ho
javāb andar javāb tum ho
ḳhudā ne roz-e-azal
jo dekhā thā ḳhvāb tum ho
tumhīñ se izzat
tumhīñ se nik.hat
tumhīñ se shohrat
zamīn kī hai
bachā sako to
ise bachā lo
zamīn vaalo
zamīn vaalo
hawa
kuchh aisi chali
ki KHeme ukhaD gae hain
ghubar aisa ghubar uTha
ki dhul aankhon mein jam gai hai
charagh bhaDken
to is mein un ka qusur kya hai
shumal ki
ye hawa
kuchh aisi sharir-o-gustaKH hai
jo baDh kar
bhaDakna un ko sikha rahi hai
jala rahi hai
bujha rahi hai
hawa kuchh aisi chali ki KHeme ukhaD gae hain
charagh donon taraf ke
itne bujhe ki manzar bhi ro raha hai
siyah libaadon siyah naqabon ka raj har-su
kahan ke rishte
kahan ke nate
kahan ke rishte
kahan ki manzil
chahaar samton mein aag aisi lagi hui hai
bujhana chahen to baDh rahi hai
badan-darida kafan-darida paDi hain lashen
saron mein aanchal
badan se zewar
utar chuke hain
jo KHwab dekhe the hum ne
wo KHwab
mar chuke hain
hawa kuchh aisi chali
ki KHeme ukhaD gae hain
hamare ghar mein
tamam chehre the raushni ke
tamam chehron se raushni thi
wo ghair the
ye suna tha main ne
magar main jin par
duaen paDh paDh ke phunkta tha
wo mera ghar phunkne ko aae
bas ek diwar bich mein thi
wahi paDosi bhi aae
KHanjar-ba-dast aae
ye kaisi aandhi chali ki chehre bigaD gae hain
hawa kuchh aisi chali ki KHeme ukhaD gae hain
na koi aKHbar hai jo kichaD mein
phul jaisa khila hua hai
na radio mein KHabar ki KHushbu
na durdarshan mein hai wo manzar
jo mujh ko
suraj dikha raha hai
ajib mausam hai
shahr-e-dil mein
na aankh apni
na kan apne
na panw apne
pata nahin hum
ye kis ki aankhon se dekhte hain
ye kis ke kanon se sun rahe hain
ye kis ke pairon se chal rahe hain
ajib mausam hai
shahr-e-dil mein
zamin wale
to aaj dekho
KHala mein gardish laga rahe hain
samundaron par
makan apne bana rahe hain
isi zamin par
rishi muni aur nabi bhi aae
tamam samton ke waste
ek payam lae
magar main itna hi jaanta hun
zamin par zulm ho raha hai
zamin wale hi kar rahe hain
wahan farishton ne sach kaha tha
magar KHuda jaanta tha sab kuchh
wo aaj bhi jaanta hai sab kuchh
wo aasman se
utar ke
apni zamin par aaega
bhul jao
wo apne hathon se
is zamin ko
hasin banaega
bhul jao
charagh andar charagh tum ho
kitab andar kitab tum ho
sawal andar sawal tum ho
jawab andar jawab tum ho
KHuda ne roz-e-azal
jo dekha tha KHwab tum ho
tumhin se izzat
tumhin se nikhat
tumhin se shohrat
zamin ki hai
bacha sako to
ise bacha lo
zamin walo
zamin walo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.