ek nirala khel
aao tumheñ ik khel batā.eñ
chhoTā sā ik gaañv basā.eñ
is meñ khet aur baaġh lagā.eñ
jab in bāġhoñ meñ phal aa.eñ
sab aapas meñ baañT ke khā.eñ
aao tumheñ ik khel batā.eñ
hukm huā is gaañv ke andar
dhartī kā mālik hai īshvar
raaja kisāñ sab us ke chākar
sab us aage siis navā.eñ
aao tumheñ ik khel batā.eñ
mil kar kar deñ hukm ye jaarī
kāhil rahnā jurm hai bhārī
aur hai paap baḌā bekārī
kaam kareñ jo vo sukh paa.eñ
aao tumheñ ik khel batā.eñ
laḌne meñ nahīñ koī burā.ī
ho jaatī hai man kī safā.ī
rahe na lekin sadā laḌā.ī
laḌeñ bhiḌeñ ḳhud hī man jaa.eñ
aao tumheñ ik khel batā.eñ
dhoñs kisī kī ho na kisī par
mukhiyā sevak ek barābar
kaam kareñ jo sab se baḌh kar
'zeb' vahī achchhe kahlā.eñ
aao tumheñ ik khel batā.eñ
aao tumhein ek khel bataen
chhoTa sa ek ganw basaen
is mein khet aur bagh lagaen
jab in baghon mein phal aaen
sab aapas mein banT ke khaen
aao tumhein ek khel bataen
hukm hua is ganw ke andar
dharti ka malik hai ishwar
raja kisan sab us ke chaakar
sab us aage sis nawaen
aao tumhein ek khel bataen
mil kar kar den hukm ye jari
kahil rahna jurm hai bhaari
aur hai pap baDa bekari
kaam karen jo wo sukh paen
aao tumhein ek khel bataen
laDne mein nahin koi burai
ho jati hai man ki safai
rahe na lekin sada laDai
laDen bhiDen KHud hi man jaen
aao tumhein ek khel bataen
dhons kisi ki ho na kisi par
mukhiya sewak ek barabar
kaam karen jo sab se baDh kar
'zeb' wahi achchhe kahlaen
aao tumhein ek khel bataen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.