kuchh nahīñ jāntā
kis tarah aa gayā
maiñ havā ke bhayānak tilismāt meñ
kokh se jin kī taulīd paate haiñ bālishtiye
roz-o-shab har ghaḌī
mujh meñ dar aate haiñ be-ijāzat
khulī dekh kar khiḌkiyāñ aur dar
maut aur zindagī un kā ek khel hai
kyūñki har ek bālishtiyā
maut se qabl jaañ sauñp jaatā hai
apne kisī jā-nashīñ (dūsre) ko
dūsrā tīsrā
aur phir tīsrā chauthe bālishtiye ko
is tarah marte jiite nirākār bālishtiyoñ aur un ke
tilismāt kā silsila
janm se aaj tak sochtā aa rahā huuñ
kitnā majbūr huuñ chāhtā huuñ
magar in tilismāt kā ant maiñ dekh saktā nahīñ
aur an-dekhe bhī un kā sirr-e-ḳhafī mujh ko ma.alūm hai
in tilismāt kā ek qaidī huuñ maiñ
in se bichhḌā to lā-raib mar jā.ūñgā
ye jo bikhre to maiñ ḳhud bikhar jā.ūñgā
...aur phir apnā muñh khol kar
mujh ko sālim nigal jā.egī
ek Daa.in zamīñ
kuchh nahin jaanta
kis tarah aa gaya
main hawa ke bhayanak tilismat mein
kokh se jin ki taulid pate hain baalishtiye
roz-o-shab har ghaDi
mujh mein dar aate hain be-ijazat
khuli dekh kar khiDkiyan aur dar
maut aur zindagi un ka ek khel hai
kyunki har ek baalishtiya
maut se qabl jaan saunp jata hai
apne kisi ja-nashin (dusre) ko
dusra tisra
aur phir tisra chauthe baalishtiye ko
is tarah marte jite nirakar baalishtiyon aur un ke
tilismat ka silsila
janm se aaj tak sochta aa raha hun
kitna majbur hun chahta hun
magar in tilismat ka ant main dekh sakta nahin
aur an-dekhe bhi un ka sirr-e-KHafi mujh ko malum hai
in tilismat ka ek qaidi hun main
in se bichhDa to la-raib mar jaunga
ye jo bikhre to main KHud bikhar jaunga
aur phir apna munh khol kar
mujh ko salim nigal jaegi
ek Dain zamin
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 239)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.