ek qissa-e-kohna ki tajdid
nigāh-e-fusūñ-sāz
dil meñ utar kar
zamāne se begāna sā kar ga.ī
lahū qatra qatra
nigāhoñ se zanjīr ban kar Tapaktā rahegā
ye tūfānī maujeñ
yūñhī kab talak mujh se
aa aa ke Takrā.eñgī
aag kab tak jalegī
dhuāñ kab talak yūñhī uThtā rahegā
ye kaise huā
saare rishte faqat ek hī zaat meñ aa samā.e
hameñ naaz hai
ki ham ne vo sadiyoñ purānī kahānī dobāra kahī hai
ki ik qissa-e-kuhna ko phir se dohrāyā ham ne
vo sadiyoñ purānī kahānī
jise aaj kī dauḌtī bhāgtī
zindagī ne farāmosh sā kar diyā thā
nigah-e-fusun-saz
dil mein utar kar
zamane se begana sa kar gai
lahu qatra qatra
nigahon se zanjir ban kar Tapakta rahega
ye tufani maujen
yunhi kab talak mujh se
aa aa ke Takraengi
aag kab tak jalegi
dhuan kab talak yunhi uThta rahega
ye kaise hua
sare rishte faqat ek hi zat mein aa samae
hamein naz hai
ki hum ne wo sadiyon purani kahani dobara kahi hai
ki ek qissa-e-kuhna ko phir se dohraya hum ne
wo sadiyon purani kahani
jise aaj ki dauDti bhagti
zindagi ne faramosh sa kar diya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.