ek riyazat ye bhi
vahī dariyā kināre
roz apnī baañs kī bansī liye baiThā huā vo shaḳhs
kitnī be-niyāzī se
har ik lamhe ko apnī ḳhush-dilī se daad detā hai
ki jis ke rū-e-raushan par qanā.at morchhal jhaltī huī motī luTātī hai
sahar-tā-shām lahroñ se vo apnī baat kahtā hai
havāoñ kī madhur sargoshiyoñ par khilkhilātā hai
parindoñ ke suhāne chahchahoñ par jhuum uThtā hai
kisī āvāz kī aahaT pe kajrī gungunātā hai
magar us kī nazar Dorī kī har jumbish pe rahtī hai
koī machhlī phañsī to is ke siine meñ
ka.ī rañgoñ kī sub.heñ daf.atan marpāsh hotī haiñ
magar aisā bhī hotā hai
kisī din haath ḳhālī apne ghar vo lauT jaatā hai
ka.ī ma.asūm āñkheñ jab savālī ban ke uThtī haiñ
vahī mānūs sī ik muskurāhaT is ke chehre kī
kisī nannhī sī machhlī kī tarah ik jast letī hai
shikasta jhoñpaḌe meñ ek bijlī kauñd jaatī hai
wahi dariya kinare
roz apni bans ki bansi liye baiTha hua wo shaKHs
kitni be-niyazi se
har ek lamhe ko apni KHush-dili se dad deta hai
ki jis ke ru-e-raushan par qanaat morchhal jhalti hui moti luTati hai
sahar-ta-sham lahron se wo apni baat kahta hai
hawaon ki madhur sargoshiyon par khilkhilata hai
parindon ke suhane chahchahon par jhum uThta hai
kisi aawaz ki aahaT pe kajri gungunata hai
magar us ki nazar Dori ki har jumbish pe rahti hai
koi machhli phansi to is ke sine mein
kai rangon ki subhen dafatan marpash hoti hain
magar aisa bhi hota hai
kisi din hath KHali apne ghar wo lauT jata hai
kai masum aankhen jab sawali ban ke uThti hain
wahi manus si ek muskurahaT is ke chehre ki
kisi nannhi si machhli ki tarah ek jast leti hai
shikasta jhonpaDe mein ek bijli kaund jati hai
- Book : doob (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.