ek sahili din
samundar be-karānī kā anokhā silsila hai
āsmāñ bhī apne nīle-pan se uktāyā huā hai
pāniyoñ par chalte chalte
nam havā ke paañv bhī shal ho chuke haiñ
bādbāñ sone lage haiñ
sāhiloñ par
āftābī ġhusl kartī laḌkiyāñ bhī
lauT kar apne gharoñ ko jā chukī haiñ
ret par phaile hue haiñ
un ke qadmoñ ke nishāñ
jismoñ kī nañgī baas
mshrūbāt ke bekār Tan
tasvīr meñ auñdhā paḌā hai
zindagī kī shaam meñ bhīgā huā
ik din!
samundar be-karani ka anokha silsila hai
aasman bhi apne nile-pan se uktaya hua hai
paniyon par chalte chalte
nam hawa ke panw bhi shal ho chuke hain
baadban sone lage hain
sahilon par
aaftabi ghusl karti laDkiyan bhi
lauT kar apne gharon ko ja chuki hain
ret par phaile hue hain
un ke qadmon ke nishan
jismon ki nangi bas
mshrubaat ke bekar Tan
taswir mein aundha paDa hai
zindagi ki sham mein bhiga hua
ek din!
- Book : Pani mein gum khawab (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.