ek sawal
dhartī maañ kī aañkh kā aañsū pūchh rahā hai ek savāl
terā ḳhanjar merā siina kuchh to batā kab tak mire laal
kyuuñ is gaañv ke rahne vaale shahr meñ rasta bhuul ga.e
kuchh din se vīrān bahut hai būḌhe baabā kī chaupāl
zaat kī had-bandī se āḳhir kaise muktī pā.eñge
terā hissa merā hissa hissoñ kā ye bikhrā jaal
hoñToñ par tahzīb ke kaisī dabī dabī ye chīḳheñ haiñ
ham to yahāñ sunñe aa.e the rāgniyāñ malhār aur taal
bhayyā ab to aḳhbāroñ ko chhūte hue Dar lagtā hai
har surḳhī meñ ḳhūn-ḳharāba dahshat vahshat aur haḌtāl
dharti man ki aankh ka aansu puchh raha hai ek sawal
tera KHanjar mera sina kuchh to bata kab tak mere lal
kyun is ganw ke rahne wale shahr mein rasta bhul gae
kuchh din se viran bahut hai buDhe baba ki chaupal
zat ki had-bandi se aaKHir kaise mukti paenge
tera hissa mera hissa hisson ka ye bikhra jal
honTon par tahzib ke kaisi dabi dabi ye chiKHen hain
hum to yahan sunne aae the ragniyan malhaar aur tal
bhayya ab to aKHbaron ko chhute hue Dar lagta hai
har surKHi mein KHun-KHaraba dahshat wahshat aur haDtal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.