ek shair ka KHwab
kahīñ ik shab jo apne bistar-e-rāhat pe jā leTā
rahā hai chain thoḌī der āñkheñ lag ga.iiñ āḳhir
balā kā ḳhvāb-e-rāhat meñ mujhe manzar nazar aayā
qalam meñ ye kahāñ tāqat ki us ko kar sake zāhir
nazar aayā mujhe maidān jis meñ hū kā aalam thā
na apnā ham-safar koī na apnā koī ham-dam thā
daraḳhtoñ ke nishāñ kuchh the magar sail-e-havādis se
kuchh aise miT chale the ye samajhnā saḳht mushkil thā
ki ye the kaun se ashjār kaise phal ye laate the
koī chashma ravāñ thā yā ki bahtā thā koī dariyā
kabhī ye apnī sarsabzī kā aalam bhī dikhāte the
ki aise hī hamesha ḳhushk lakḌī ke ye tode the
makānoñ kā ye aalam thā ki kohna aur shikasta the
kahīñ dīvār baaqī thī kahīñ us kā nishāñ baaqī
chhatoñ kī munhadim sūrat ye kahtī thī ki puḳhta the
magar aisī tabāhī thī ki chhat kā thā gumāñ baaqī
ilāhī ḳhair karnā saḳht uljhan thī kahāñ pahuñchā
nazar aatī ḳharābī hī ḳharābī thī jahāñ pahuñchā
zarā aage baḌhā dekhā registān saarā thā
jahāñ maiñ thā kuchh us se duur hī bijlī sī chamkī thī
kuaañ jo thā vo bilkul ḳhushk sūkhā saarā dariyā thā
harārat dhuup meñ aisī zamīñ saarī dahaktī thī
kahāñ abr-e-karam ik qahr kā ḳhurshīd-e-tābāñ thā
havā-e-tund thī ik samt lahrātā bayābāñ thā
mujhe hairat thī itne meñ nidā ye ġhaib se aa.ī
ki o āvāra-e-ġhurbat banā kyoñ tū hai ā.īna
nahīñ is sarzamīñ meñ se kyā tujhe kuchh bhī shanāsā.ī
are ye vo zamīñ hai jis pe thā firdaus kā dhokā
yahī hai vo zamīñ ilm-o-amal kī jis kā charchā thā
yahīñ se ilm-e-dīñ yūnāniyoñ ne aa ke sīkhā thā
yakāyak us pe phailī vo havā buġhz-o-adāvat kī
ki bhaa.ī ko huī bhaa.ī se behad dushmanī paidā
na apnoñ meñ rahī ulfat na yāroñ meñ shanāsā.ī
ḳhudī kī aag ne har fard meñ kī ḳhud-sarī paidā
jalā kar jis ne dekho un ko āḳhir ḳhaak kar Daalā
miTā kar un ko misl-e-ḳhas jahāñ ko paak lā
kahin ek shab jo apne bistar-e-rahat pe ja leTa
raha hai chain thoDi der aankhen lag gain aaKHir
bala ka KHwab-e-rahat mein mujhe manzar nazar aaya
qalam mein ye kahan taqat ki us ko kar sake zahir
nazar aaya mujhe maidan jis mein hu ka aalam tha
na apna ham-safar koi na apna koi ham-dam tha
daraKHton ke nishan kuchh the magar sail-e-hawadis se
kuchh aise miT chale the ye samajhna saKHt mushkil tha
ki ye the kaun se ashjar kaise phal ye late the
koi chashma rawan tha ya ki bahta tha koi dariya
kabhi ye apni sarsabzi ka aalam bhi dikhate the
ki aise hi hamesha KHushk lakDi ke ye tode the
makanon ka ye aalam tha ki kohna aur shikasta the
kahin diwar baqi thi kahin us ka nishan baqi
chhaton ki munhadim surat ye kahti thi ki puKHta the
magar aisi tabahi thi ki chhat ka tha guman baqi
ilahi KHair karna saKHt uljhan thi kahan pahuncha
nazar aati KHarabi hi KHarabi thi jahan pahuncha
zara aage baDha dekha registan sara tha
jahan main tha kuchh us se dur hi bijli si chamki thi
kuan jo tha wo bilkul KHushk sukha sara dariya tha
hararat dhup mein aisi zamin sari dahakti thi
kahan abr-e-karam ek qahr ka KHurshid-e-taban tha
hawa-e-tund thi ek samt lahraata bayaban tha
mujhe hairat thi itne mein nida ye ghaib se aai
ki o aawara-e-ghurbat bana kyon tu hai aaina
nahin is sarzamin mein se kya tujhe kuchh bhi shanasai
are ye wo zamin hai jis pe tha firdaus ka dhoka
yahi hai wo zamin ilm-o-amal ki jis ka charcha tha
yahin se ilm-e-din yunaniyon ne aa ke sikha tha
yakayak us pe phaili wo hawa bughz-o-adawat ki
ki bhai ko hui bhai se behad dushmani paida
na apnon mein rahi ulfat na yaron mein shanasai
KHudi ki aag ne har fard mein ki KHud-sari paida
jala kar jis ne dekho un ko aaKHir KHak kar Dala
miTa kar un ko misl-e-KHas jahan ko pak la
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.