ek sham
dopahar se jaane kyoñ
muzmahil thā dil merā
thī ajab sī bechainī
shaam jab qarīb aa.ī
gaañv se nikal kar maiñ
duur tak chalā aaya
aur ik shajar ke paas
baiTh ke ba-ḳhāmoshī
gum thā maiñ ḳhayāloñ meñ
daf.atan ik aahaT sī
is tarah huī mahsūs
jaise koī tezī se
paas hī se guzrā ho
aur jab nazar uTThī
ek ajiib manzar thā
sāmne shikasta sā
ik mazār thā jis par
ik hasīna aa.ī thī
us hasīna kā chehra
chāñd se mushābah thā
us kī zulf-e-pur-ḳham meñ
husn thā ghaTāoñ kā
dekhtā huuñ bil-āḳhir
vo hasīna marqad par
ik diyā jalātī hai
jis ke nuur meñ us kā
chehra tamtamātā hai
gaahe muskurātī hai
soch ke na jaane kyā
lājvantī kī mānind
ḳhud hī jheñp jaatī hai
gaahe muzmahil ho kar
āsmāñ ko taktī hai
ashk bahne lagte haiñ
sham.a kaañp jaatī hai
āsmāñ kī jānib phir
us ke haath uThte haiñ
jaane mudda.ā kyā hai
jaane kyā tamanna hai
dopahar se jaane kyon
muzmahil tha dil mera
thi ajab si bechaini
sham jab qarib aai
ganw se nikal kar main
dur tak chala aaya
aur ek shajar ke pas
baiTh ke ba-KHamoshi
gum tha main KHayalon mein
dafatan ek aahaT si
is tarah hui mahsus
jaise koi tezi se
pas hi se guzra ho
aur jab nazar uTThi
ek ajib manzar tha
samne shikasta sa
ek mazar tha jis par
ek hasina aai thi
us hasina ka chehra
chand se mushabah tha
us ki zulf-e-pur-KHam mein
husn tha ghaTaon ka
dekhta hun bil-aKHir
wo hasina marqad par
ek diya jalati hai
jis ke nur mein us ka
chehra tamtamata hai
gahe muskuraati hai
soch ke na jaane kya
lajwanti ki manind
KHud hi jhenp jati hai
gahe muzmahil ho kar
aasman ko takti hai
ashk bahne lagte hain
shama kanp jati hai
aasman ki jaanib phir
us ke hath uThte hain
jaane muddaa kya hai
jaane kya tamanna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.