ek shikwa
tirā dil zarā bhī zālim jo vafā-shi.ār hotā
tujhe merī qadr hotī tujhe mujh se pyaar hotā
ye mazā thā āshiqī kā ki ye hāl-e-zār hotā
na tujhe qarār hotā na mujhe qarār hotā
tirī be-ruḳhī ke Dar se mirī jaan par ban aa.ī
jo zarā maiñ khiñch ke rahtā tujhe nāgavār hotā
maiñ ġham-e-jahāñ se ghabrā ke bas itnā chāhtā thā
koī chārāgar na hotā koī ġham-gusār hotā
mirā hāl-e-zār sun kar kisī dil ko rahm aatā
mirī be-qarāriyoñ par koī be-qarār hotā
jo zarā sī der ko bhī maiñ judā kisī se rahtā
to zarā sī der meñ bhī mirā intizār hotā
idhar apnī kāmyābī se ye hotī merī hālat
ġham-e-hijr to na hotā ġham-e-vasl-e-yār hotā
magar is ko kyā karūñ maiñ ki nasīb meñ likhā thā
tire baḳht-e-bad na hote to tujhe qarār hotā
maiñ navā-e-ġham meñ apnī vo asar kahīñ se laatā
tire dil meñ huuk uThtī jo maiñ be-qarār hotā
maiñ use bhī apne hī dil kī tarah ḳharāb kartā
tire dil pe kaash zālim mirā iḳhtiyār hotā
mirā is ġhazal se matlab thā 'jalīl' sirf itnā
maiñ kisī se shikva kartā koī sharmsār hotā
tera dil zara bhi zalim jo wafa-shiar hota
tujhe meri qadr hoti tujhe mujh se pyar hota
ye maza tha aashiqi ka ki ye haal-e-zar hota
na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota
teri be-ruKHi ke Dar se meri jaan par ban aai
jo zara main khinch ke rahta tujhe nagawar hota
main gham-e-jahan se ghabra ke bas itna chahta tha
koi chaaragar na hota koi gham-gusar hota
mera haal-e-zar sun kar kisi dil ko rahm aata
meri be-qarariyon par koi be-qarar hota
jo zara si der ko bhi main juda kisi se rahta
to zara si der mein bhi mera intizar hota
idhar apni kaamyabi se ye hoti meri haalat
gham-e-hijr to na hota gham-e-wasl-e-yar hota
magar is ko kya karun main ki nasib mein likha tha
tere baKHt-e-bad na hote to tujhe qarar hota
main nawa-e-gham mein apni wo asar kahin se lata
tere dil mein huk uThti jo main be-qarar hota
main use bhi apne hi dil ki tarah KHarab karta
tere dil pe kash zalim mera iKHtiyar hota
mera is ghazal se matlab tha 'jalil' sirf itna
main kisi se shikwa karta koi sharmsar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.