ek subh
sañvar rahe the havā ke latīf jhoñke
ubhar rahe the guloñ se bahār ke naqshe
nikhar rahe the basārat-navāz nazzāre
bikhar rahe the samā.at pe kaif-zā naġhme
sudhar rahe the bigaḌ kar hayāt ke lamhe
sanak rahī thī masarrat meñ Duub kar purvā
chaTak rahā thā ba-andāz-e-ḳhās har ġhuncha
mahak rahī thī magar chāñdnī bharī duniyā
lahak rahā thā surūr-o-nashāt meñ sabza
jhalak rahā thā havāoñ meñ rang maujoñ kā
guzar rahī thī ru-pahlī trāvatoñ se nazar
biphar rahī thiiñ ġhinā.ī harārateñ aksar
ThiThur rahā thā shahābī tabassumoñ kā asar
utar rahā thā fizā.ī jumūd aalam par
Thahar rahā thā jamālī haqīqatoñ kā jigar
badal rahī thī fazā-e-ḳhamosh nauiyyat
ubal rahā thā ba-har-gām chashma-e-farhat
machal rahī thī diloñ meñ ḳhulūs kī nuz.hat
nikal rahī thī had-e-lutf-e-naum se fitrat
bahal rahī thī suhāne samoñ se mahviyyat
basā chukī thī dimāġhoñ ko raat kī raanī
uḌā rahe the dhuñdalke alaap koyal kī
luTā rahā thā tajallī sitāra-e-saharī
'sahar' ne baa'd adā-e-niyāz-e-ma.abūdī
'alalḳhusūs ba-sad ijz ye duā māñgī
sukūñ rahe ki zamāne ko inqalāb rahe
har ek sa.ī meñ 'najma' tū kāmyāb rahe
sanwar rahe the hawa ke latif jhonke
ubhar rahe the gulon se bahaar ke naqshe
nikhar rahe the basarat-nawaz nazzare
bikhar rahe the samaat pe kaif-za naghme
sudhar rahe the bigaD kar hayat ke lamhe
sanak rahi thi masarrat mein Dub kar purwa
chaTak raha tha ba-andaz-e-KHas har ghuncha
mahak rahi thi magar chandni bhari duniya
lahak raha tha surur-o-nashat mein sabza
jhalak raha tha hawaon mein rang maujon ka
guzar rahi thi ru-pahli trawaton se nazar
biphar rahi thin ghinai hararaten aksar
ThiThur raha tha shahabi tabassumon ka asar
utar raha tha fizai jumud aalam par
Thahar raha tha jamali haqiqaton ka jigar
badal rahi thi faza-e-KHamosh nauiyyat
ubal raha tha ba-har-gam chashma-e-farhat
machal rahi thi dilon mein KHulus ki nuzhat
nikal rahi thi had-e-lutf-e-naum se fitrat
bahal rahi thi suhane samon se mahwiyyat
basa chuki thi dimaghon ko raat ki rani
uDa rahe the dhundalke alap koyal ki
luTa raha tha tajalli sitara-e-sahari
'sahar' ne ba'd ada-e-niyaz-e-mabudi
'alalKHusus ba-sad ijz ye dua mangi
sukun rahe ki zamane ko inqalab rahe
har ek sai mein 'najma' tu kaamyab rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.