zamīn gardish meñ hai
aur duniyā safar meñ
aur ab mausam aise uḌā jaatā hai
jaise hasratoñ kā sahrā ho
jahāñ qadmoñ ke nishān mileñ na ḳhemoñ ke
jise in regzāroñ meñ bichhaḌne kā shauq ho
apnī raftār le kar chale apnā sitāra le kar chale
bādbān raqs meñ hai
aur kashtī bhañvar meñ
aur ab vaqt aise uḌā jaatā hai
jaise ret kā samundar ho
jahāñ sukūt kī lazzat mile na saa.e kī
jise in sarāboñ meñ bikharne kā shauq ho
apnī chhāñv le kar chale apnā kināra le kar chale
ruuh safar meñ hai
aur yādeñ qabr meñ
aur ab tilism maut kā aise khulā jaatā hai
jaise ghar kā āḳhirī darvāza ho
jahāñ hujjatoñ se amaañ mile na dalīloñ se
jise in āsmānoñ meñ bhaTakne kā shauq ho
apnī sar-kashī le kar chale apnā añdherā le kar chale
zamin gardish mein hai
aur duniya safar mein
aur ab mausam aise uDa jata hai
jaise hasraton ka sahra ho
jahan qadmon ke nishan milen na KHemon ke
jise in regzaron mein bichhaDne ka shauq ho
apni raftar le kar chale apna sitara le kar chale
baadban raqs mein hai
aur kashti bhanwar mein
aur ab waqt aise uDa jata hai
jaise ret ka samundar ho
jahan sukut ki lazzat mile na sae ki
jise in sarabon mein bikharne ka shauq ho
apni chhanw le kar chale apna kinara le kar chale
ruh safar mein hai
aur yaaden qabr mein
aur ab tilism maut ka aise khula jata hai
jaise ghar ka aaKHiri darwaza ho
jahan hujjaton se aman mile na dalilon se
jise in aasmanon mein bhaTakne ka shauq ho
apni sar-kashi le kar chale apna andhera le kar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.