ek tote ki fariyaad pinjre mein
haa.e taqdīr ki maiñ aan phañsā pinjre meñ
ab nahīñ ḳhaak bhī jiine kā maza pinjre meñ
chhuT ga.e qaid meñ mujh se mire biivī bachche
koī sāthī hai na ġham-ḳhvār mirā pinjre meñ
ghar kī dīvāreñ bhī afsos haiñ ūñchī ūñchī
kabhī aatī nahīñ jangal kī havā pinjre meñ
taaze taaze haiñ kahāñ aaj vo phal bāġhoñ ke
miltī hai sūkhī saḌī mujh ko ġhizā pinjre meñ
koī amrūd nahīñ aam nahīñ ber nahīñ
kabhī kelā bhī na khāne ko milā pinjre meñ
haa.e is shāḳh se us shāḳh pe uḌ kar jaanā
yaad aatā hai vo uḌne kā mazā pinjre meñ
tīliyoñ se mirā sar phūTtā hai vaa.e nasīb
choT lagtī hai jo uḌtā huuñ zarā pinjre meñ
ab to sab bhuul gayā baiTh ke Teñ Teñ karnā
chup paḌā rahtā huuñ maiñ but sā banā pinjre meñ
kahte haiñ chhoTe baḌe ghar ke miyāñ miTThū sab
vaah ye ḳhuub laqab mujh ko milā pinjre meñ
maiñ samajhtā huuñ jo matlab hai miyāñ miTThū kā
bāvlā jāntī hai ḳhalq-e-ḳhudā pinjre meñ
isī hālat meñ guzar jā.eñge baaqī din bhī
ik din aa jā.egī bas merī qazā pinjre meñ
rahm kar rahm kar allāh mire haal pe tū
mil chukī ab to mujhe ḳhuub sazā pinjre meñ
terī qudrat hai baḌī jald chhuḌā de mujh ko
dam mirā jiine se rahtā hai ḳhafā pinjre meñ
hae taqdir ki main aan phansa pinjre mein
ab nahin KHak bhi jine ka maza pinjre mein
chhuT gae qaid mein mujh se mere biwi bachche
koi sathi hai na gham-KHwar mera pinjre mein
ghar ki diwaren bhi afsos hain unchi unchi
kabhi aati nahin jangal ki hawa pinjre mein
taze taze hain kahan aaj wo phal baghon ke
milti hai sukhi saDi mujh ko ghiza pinjre mein
koi amrud nahin aam nahin ber nahin
kabhi kela bhi na khane ko mila pinjre mein
hae is shaKH se us shaKH pe uD kar jaana
yaad aata hai wo uDne ka maza pinjre mein
tiliyon se mera sar phuTta hai wae nasib
choT lagti hai jo uDta hun zara pinjre mein
ab to sab bhul gaya baiTh ke Ten Ten karna
chup paDa rahta hun main but sa bana pinjre mein
kahte hain chhoTe baDe ghar ke miyan miTThu sab
wah ye KHub laqab mujh ko mila pinjre mein
main samajhta hun jo matlab hai miyan miTThu ka
bawla jaanti hai KHalq-e-KHuda pinjre mein
isi haalat mein guzar jaenge baqi din bhi
ek din aa jaegi bas meri qaza pinjre mein
rahm kar rahm kar allah mere haal pe tu
mil chuki ab to mujhe KHub saza pinjre mein
teri qudrat hai baDi jald chhuDa de mujh ko
dam mera jine se rahta hai KHafa pinjre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.