faKHta ka rang zard tha
Interesting Fact
1999
khaT baḌha.ī kī dastak par
tanāvar shajar ne
kañdhe jhaTak kar
apnī be-niyāzī kā iz.hār kiyā
havā kā tez jhoñkā
ghaḌī-bhar ke liye pattoñ se uljhā
phūlī huī saañs se kuchh kahnā chāhā
magar alfāz ne saath na diyā
shajar ne baḌī be-e'tinā.ī se
us kī taraf ek nazar dekhā
magar jhoñkā itnī der meñ duur jā chukā thā
abhī use aur bhī to paiġhām pahuñchāne the
yak-bārgī shajar khaḌe qad se Dagmagāyā
hālāñki fazā bilkul sākit thī
patte anjāne ḳhauf se
haule haule kaañp rahe the
khaT baḌha.ī kī dastak tez se tez-tar hotī jā rahī thī
havā kā jhoñkā
vāpsī meñ pal ke pal Thahrā
magar bahut der ho chukī thī
tanāvar daraḳht ek baar baḌī zor se kāñpā
aur ek taraf jhuktā chalā gayā
us kī apnī ġhaflat ne
dīmak kī tarah
us ke vajūd ko khokhlā kar diyā thā
khaT baḌha.ī kī dastak bhī dam toḌ chukī thī
aur fāḳhta
gire hue shajar ke uupar
musalsal chakkar kaaT rahī thī
khaT baDhai ki dastak par
tanawar shajar ne
kandhe jhaTak kar
apni be-niyazi ka izhaar kiya
hawa ka tez jhonka
ghaDi-bhar ke liye patton se uljha
phuli hui sans se kuchh kahna chaha
magar alfaz ne sath na diya
shajar ne baDi be-e'tinai se
us ki taraf ek nazar dekha
magar jhonka itni der mein dur ja chuka tha
abhi use aur bhi to paigham pahunchane the
yak-bargi shajar khaDe qad se Dagmagaya
haalanki faza bilkul sakit thi
patte anjaane KHauf se
haule haule kanp rahe the
khaT baDhai ki dastak tez se tez-tar hoti ja rahi thi
hawa ka jhonka
wapsi mein pal ke pal Thahra
magar bahut der ho chuki thi
tanawar daraKHt ek bar baDi zor se kanpa
aur ek taraf jhukta chala gaya
us ki apni ghaflat ne
dimak ki tarah
us ke wajud ko khokhla kar diya tha
khaT baDhai ki dastak bhi dam toD chuki thi
aur faKHta
gire hue shajar ke upar
musalsal chakkar kaT rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.