faqa-masti aur zawal-e-sharafat
qaht us par qatl-o-ġhārat kā ye aalam haa.e haa.e
har taraf hai nāla-o-fariyād-o-mātam haa.e haa.e
ik taraf kapḌe kā mātam ik taraf ġhalle kī maar
ab to hai is zindagī se naak meñ dam haa.e haa.e
jin ke dastarḳhvān par hotī thiiñ sad.hā ne.amateñ
un ko miltī hai ġhizā-e-ranj paiham haa.e haa.e
shabnam-o-kamḳhāb kī jo taab lā sakte na the
un ko khaddar bhī nahīñ hotā farāham haa.e haa.e
aaj hai likkhe-paḌhoñ ke ghar meñ faaqa aa.e din
har-kasāñ is vaqt hai fir.aun-e-āzam haa.e haa.e
miT rahā hai fāqa-mastī se sharāfat kā nishāñ
bachcha bachcha mulk kā hai paikar-e-ġham haa.e haa.e
kāġhazī sikkoñ ne chhīnā ashrafiyyoñ kā faroġh
hai rizālat meñ sharāfat aaj mudġham haa.e haa.e
vā.e-nākāmī vo nāsūr-e-jigar sābit huā
jānte the jis ko zaḳhm-e-dil kā marham haa.e haa.e
fāqa-mastān-e-vatan is raaz se vāqif na the
īd-e-āzādī manā.egī moharram haa.e haa.e
jab umīdeñ uTh ga.iiñ saarā gila jaatā rahā
zindagī se zindagī kā hausla jaatā rahā
qaht us par qatl-o-ghaarat ka ye aalam hae hae
har taraf hai nala-o-fariyaad-o-matam hae hae
ek taraf kapDe ka matam ek taraf ghalle ki mar
ab to hai is zindagi se nak mein dam hae hae
jin ke dastarKHwan par hoti thin sadha neamaten
un ko milti hai ghiza-e-ranj paiham hae hae
shabnam-o-kamKHab ki jo tab la sakte na the
un ko khaddar bhi nahin hota faraham hae hae
aaj hai likkhe-paDhon ke ghar mein faqa aae din
har-kasan is waqt hai firaun-e-azam hae hae
miT raha hai faqa-masti se sharafat ka nishan
bachcha bachcha mulk ka hai paikar-e-gham hae hae
kaghazi sikkon ne chhina ashrafiyyon ka farogh
hai rizalat mein sharafat aaj mudgham hae hae
wae-nakaami wo nasur-e-jigar sabit hua
jaante the jis ko zaKHm-e-dil ka marham hae hae
faqa-mastan-e-watan is raaz se waqif na the
id-e-azadi manaegi moharram hae hae
jab umiden uTh gain sara gila jata raha
zindagi se zindagi ka hausla jata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.