faslon ki salib
ye dhund shak kī gar chhaTe
sukūt gar anā kā pāsh-pāsh ho
to ham bhī aañkh khol kar
ye dekh leñ
hamāre apne darmiyāñ
salīb fāsloñ kī hai kahāñ kahāñ gaḌhī huī
ḳhulūs kī jo kahkashāñ
hamāre sar pe ḳhema-zan thī āḳhirash kahāñ ga.ī
kahāñ ga.ī chamak damak vo raushnī
ki jis se faizyāb the
hamārī zindagī ke din jo ulfatoñ ke ḳhvāb the
ye dhund shak kī gar chhaTe
sukūt gar anā kā pāsh-pāsh ho
to ek baar phir hamāre darmiyāñ ke fāsle
simaT ke qurbatoñ kā ruup dhaar leñ
so ham bhī zindagī sañvār leñ
ye dhund shak ki gar chhaTe
sukut gar ana ka pash-pash ho
to hum bhi aankh khol kar
ye dekh len
hamare apne darmiyan
salib faslon ki hai kahan kahan gaDhi hui
KHulus ki jo kahkashan
hamare sar pe KHema-zan thi aaKHirash kahan gai
kahan gai chamak damak wo raushni
ki jis se faizyab the
hamari zindagi ke din jo ulfaton ke KHwab the
ye dhund shak ki gar chhaTe
sukut gar ana ka pash-pash ho
to ek bar phir hamare darmiyan ke fasle
simaT ke qurbaton ka rup dhaar len
so hum bhi zindagi sanwar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.