faisla
ḳhvāb ke ḳhauf se sahmī huī nīñdeñ aksar
aañkh se duur sar-e-rāhguzar baiThtī haiñ
aur palkoñ kī gulū-gīr sadāoñ pe koī dhyān nahīñ jaatā hai
pūran-māshī kī zamistānī shab
ḳhuun meñ aag kī gardish ko baḌhā detī hai
aur maiñ andesha-e-fardā se hirāsāñ ho kar
apne maazī ko sadā detā huuñ
qahqaha gūñjtā hai
haal kī chīḳh fazāoñ meñ bikhar jaatī hai
roz-o-shab aisī aziyyat meñ guzarte haiñ ki tārīḳh farāmosh jinheñ kar degī
aur ham qissa-e-pārīna bhī banñe ke nā-qābil hoñge
yahī behtar hai aañkh se ḳhvāb khurach Dāleñ sabhī
raah hamvār kareñ niiñd ke aane ke liye
aur so jaa.eñ haqīqat ko nibhāne ke liye
KHwab ke KHauf se sahmi hui ninden aksar
aankh se dur sar-e-rahguzar baiThti hain
aur palkon ki gulu-gir sadaon pe koi dhyan nahin jata hai
puran-mashi ki zamistani shab
KHun mein aag ki gardish ko baDha deti hai
aur main andesha-e-farda se hirasan ho kar
apne mazi ko sada deta hun
qahqaha gunjta hai
haal ki chiKH fazaon mein bikhar jati hai
roz-o-shab aisi aziyyat mein guzarte hain ki tariKH faramosh jinhen kar degi
aur hum qissa-e-parina bhi banne ke na-qabil honge
yahi behtar hai aankh se KHwab khurach Dalen sabhi
rah hamwar karen nind ke aane ke liye
aur so jaen haqiqat ko nibhane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.