fake baukhalahaT
saaf shaffāf din ke dastarḳhvān par
jab shaam
zindagī kā talāq-nāma pesh kartī hai to aadmī
jhuñjhlā kar
apnā nivāla-e-tar khāne kī mez par girā detā hai
ham-nivāla sabhī
apne dāhine haath naukrāniyoñ kī qamīz se fauran nikāl lete haiñ
mankūha 'auratoñ ke peT par añgvār kāTte safed lomaḌ
apne rafīq kī nāgahāñ maut kī ḳhabar sunte hī
do din aur ek raat ke liye
havas kī goliyāñ nahīñ khāte
aglī raat aur phir vahī baat
bhaa.ī sāhab
ye saarī fake baukhalāhaT hai
ye jāhil samāj hai
yahāñ muñh kā zā.iqa tamāñchoñ kā muhtāj hai
saf shaffaf din ke dastarKHwan par
jab sham
zindagi ka talaq-nama pesh karti hai to aadmi
jhunjhla kar
apna niwala-e-tar khane ki mez par gira deta hai
ham-niwala sabhi
apne dahine hath naukraniyon ki qamiz se fauran nikal lete hain
mankuha 'auraton ke peT par angwar kaTte safed lomaD
apne rafiq ki nagahan maut ki KHabar sunte hi
do din aur ek raat ke liye
hawas ki goliyan nahin khate
agli raat aur phir wahi baat
bhai sahab
ye sari fake baukhalahaT hai
ye jahil samaj hai
yahan munh ka zaiqa tamanchon ka muhtaj hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.