fankar aur maut
jab mujhe ye ḳhayāl aatā hai
ek fankār mar nahīñ saktā
us kī taḳhlīq zinda rahtī hai
us kā kirdār mar nahīñ saktā
yaad aate haiñ mujh ko vo fankār
zindagī-bhar jo zahar pī ke jiye
ġham kī tasvīr ban ke zinda rahe
dahr-e-fānī meñ apne fan ke liye
aur is dahr ke nikammoñ ne
un kī rāhoñ meñ ḳhaar bikhrā.e
jab ye dasht-e-junūñ meñ aur baḌhe
un ke dāman ke taar uljhā.e
laakh rokā unheñ zamāne ne
chal diye jis taraf chalte rahe
chand rāheñ nikāl kar apnī
jāvedāñ apnā naam karte rahe
aaj duniyā ke is añdhere meñ
jal rahe haiñ vahī charāġh jinheñ
āñdhiyoñ ne jalāyā thā ik rose
zindagī kī hasīn rāhoñ meñ
ek fankār hai charāġh vahī
jis ko koī bujhā nahīñ saktā
jāgtī jagmagātī rāhoñ se
koī jis ko haTā nahīñ saktā
ban ke fankār sochtā huuñ maiñ
apnī hastī ko jāvedāñ kar luuñ
raaz apnā batā ke duniyā ko
saarī duniyā ko rāzdāñ kar luuñ
maut aa.e to us se hañs ke kahūñ
maiñ huuñ fankār mar nahīñ saktā
merī taḳhlīq zinda rahtī hai
merā kirdār mar nahīñ saktā
jab mujhe ye KHayal aata hai
ek fankar mar nahin sakta
us ki taKHliq zinda rahti hai
us ka kirdar mar nahin sakta
yaad aate hain mujh ko wo fankar
zindagi-bhar jo zahar pi ke jiye
gham ki taswir ban ke zinda rahe
dahr-e-fani mein apne fan ke liye
aur is dahr ke nikammon ne
un ki rahon mein KHar bikhrae
jab ye dasht-e-junun mein aur baDhe
un ke daman ke tar uljhae
lakh roka unhen zamane ne
chal diye jis taraf chalte rahe
chand rahen nikal kar apni
jawedan apna nam karte rahe
aaj duniya ke is andhere mein
jal rahe hain wahi charagh jinhen
aandhiyon ne jalaya tha ek rose
zindagi ki hasin rahon mein
ek fankar hai charagh wahi
jis ko koi bujha nahin sakta
jagti jagmagati rahon se
koi jis ko haTa nahin sakta
ban ke fankar sochta hun main
apni hasti ko jawedan kar lun
raaz apna bata ke duniya ko
sari duniya ko raazdan kar lun
maut aae to us se hans ke kahun
main hun fankar mar nahin sakta
meri taKHliq zinda rahti hai
mera kirdar mar nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.