fankar
maiñ huuñ fankār mujhe maut na aa.egī kabhī
jism miTtā hai to miTne do koī ġham na karo
maiñ har ik zehn har ik dil meñ basā jaatā huuñ
tum mire vāste in āñkhoñ ko pur-nam na karo
ruuh to vaqt kī pāband hai jaane do ise
jism miTTī kā hai miTTī meñ milā do yaaro
mere afkār kitāboñ meñ raheñge zinda
mere ehsās ko zehnoñ meñ jagah do yaaro
jab bhī chāhoge jahāñ chāhoge pāoge mujhe
maiñ nahīñ harf-e-ġhalat huuñ ki miTāyā jā.ūñ
raqs karte haiñ har ik zehn meñ mere afkār
ye to mumkin hī nahīñ hai ki bhulāyā jā.ūñ
gūñjtī hai jo ḳhalāoñ meñ vo jhankār huuñ maiñ
ḳhuub pahchān lo fankār huuñ fankār huuñ maiñ
main hun fankar mujhe maut na aaegi kabhi
jism miTta hai to miTne do koi gham na karo
main har ek zehn har ek dil mein basa jata hun
tum mere waste in aankhon ko pur-nam na karo
ruh to waqt ki paband hai jaane do ise
jism miTTi ka hai miTTi mein mila do yaro
mere afkar kitabon mein rahenge zinda
mere ehsas ko zehnon mein jagah do yaro
jab bhi chahoge jahan chahoge paoge mujhe
main nahin harf-e-ghalat hun ki miTaya jaun
raqs karte hain har ek zehn mein mere afkar
ye to mumkin hi nahin hai ki bhulaya jaun
gunjti hai jo KHalaon mein wo jhankar hun main
KHub pahchan lo fankar hun fankar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.